Friday, January 04, 2008

kagaz ki kasti

Is dil ko to bas teri yaad aati hai,
aur is dil ko udaas kar jati hai,
Koi poochta hai tumse pyaar kitna hai
kuch nahi keh pate bas aankh bhar aati hai.

Hamare zakhmo ki vajaha bhi woh hai…
hamare zakhmo ki dava bhi woh hai,
woh namak zakhmo pe lagaye toh kya hua,
mohabbath karne ki sazah hi woh hai…..

masoom si mohabbat ka bus itna sa fasana hai..
kagaj ki haveli hai, baarish ka zamaana hai..
kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamana hai..
awaz bhi jakhmi hai aur wo geet bhi gana hai..
uss per utrne ki umeed bahut kam hai..
kashti bhi puraani hai, tufaan bhi aana hai..
samajhe ya na samjhe wo andaaz-e-mohabbat ka..
ak khaas ko ankho se ek sher sunaana hai..
bholi si ada, koi fir ishq ki jid par hai..
fir aag ka dariya hai..aur doob ke jana hai…

No comments: