Monday, January 21, 2008

dil par hai naam tumhara

Jo main na rahun, aankhon main aansoo na bharna tum

Is dil pe hai bas naam tumhara, yeh yaqeen rakhna tum

Main hoon tere sath, tu humraah hai mere har qadam

Door ho kar bhi kahan ek doosre se hain door hum

Guzarta har pal, har lamha tere aur qareeb kar deta hai

Saanson ki yeh dor teri saanson ke sang jod deta hai

Mere humdum, mere humnawa, pyar tera, meri zindagi

Khuda ke baad, main karun dil se bas teri hi bandagi !!

No comments: