Dheere Dheere Dil se ab tere pyaar ka dard kam hua...
Na tere aane ki khushi hui aur na jaane ka gam hua..
Jab log mujhse poochate hain hamaare pyar ki daastaan..
Main kah deta hoon ki ek fasaana tha jo ab khatm hua
Lamha Lamha Saanse Khatm Ho Rahi Hai...
Zindagi Maut Ke Pahlu Me So Rahi Hai..!
Us Bewafa se Na Pucho Meri Maut Ki Wajah..
Wo To Bas, Jamane Ko Dikhane Ke Liye Ro Rahi Hai...!!
Kaaton se bhara mera aashiyaana ho gaya hai
Phoolon ko dekhe to ek zamaaana ho gaya hai
Hansi uski sun kar hoti thi subah meri
Khamoshi se aaj kal dostaana ho gaya hai
Chanchal si aahat uski aati hai khwabon mein
Sona mere liye to bas bahaana ho gaya hai
Thi zinda meri basti uske eh-do-karam se
Bichadne ke baad to ye viraaana ho gaya hai
Kehte hai 'tan.viir' ke peena chhod de
Jabki khali mera paimaana ho gaya hai
Sunaata tha haal-e-dil zamaane ko pehle
Ab to ye kissa bhi puraana ho gaya hai
kal kahan hounga main ye mujh ko khabar hi nahi
aaj khoon-e-dil ka har rang dikha doon tujhko
kya pata kal ka din mujhe kya bana jayega
aaj jee chahe tera jitna sata le mujhko.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment