Monday, January 14, 2008

dil ki khtaa (ramram)

Main Dil ki khata likhta hun,
Tum Apni Ada likhna.

Us Gali se ab teri Mehek nahi aati,
Ab ke Khat likhna to naya pata likhna.

Zehen ko hai malum tum na aaoge,
Dil kuch der behel jaye aisi khata likhna.

Kya mila tumse Mohabbat karke mujhe,
Koi puche zara to saza likhna.

Kya paya is saza ke badle Maine,
Sach keh sako to Saza likhna.

Main Dil ki khata likhta hun,
Tum Apni Ada likhna.

No comments: