Wednesday, January 09, 2008
dard ki duniya
Dard ki duniyaa main mein nahin koyi akeli naweli houn
Mera man magar kehta hai ki mein ek ajeeb paheli houn
Jinke kadmon ke dhul main mera sansar,mera swarg hai
Unhi ke haanthon se nirdoshi ho kar bhi nark jheli houn
Jin ko meine apni zindagi ke chaman ka baagbaan jaana
Unki nazron main na gulaab houn na koyi chameli houn
Unka kissi aur par lakhon karam aur mujh par sirf sitam
Ne yahi yakeen dilaaya ki jahaan main bilkul akeli houn
Jo sochti houn ouss main kya hai jo mujh main nahin hai
To ehsaas hota hai binaa lakeer ki ek khaali hatheli houn
Khaamosh raaton main unke dil ki dharkanein kehti hein
Wo haseen Tajmahal hai aur mein ujri houi haweli houn
Mera dil ka tukda mujh abhaagi se kahin bichar na jaaye
Iss liye majburan mein bani apni hi sautan ki saheli houn
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment