Monday, January 28, 2008

new

Sapnay ki tarha tujhey saja k rakhon,
Chandni raat ki nazron se chupa k rakhon
Meri taqdeer meray saath nahin,

warna zindagi bhar tujhay apna bana k rakhon
Aap apnay qareeb aanay nahin daitay,
Khud ko seenay say laganay nahin daitay,
Dil aap ki yaad main tarapta bhi bohut hay,
magar aap hamain aanso bahanay nahin daitay,
aap ki yaadon ko rook pana hay mushkil,
Rooth’tay hain to phir mananay nahin daitay.

Maat roko iss behte dard ko,
Saza hai ye kisi ke intzar ki,
Keh lo inhe ashk ya diwangi,
Ye to nishani hai kisi ke pyaar ki.

Sath chalne ke liye sathi chahiye,
Aansu rokne ke liye muskan chahiye,
Zinda rehne ke liye zindagi chahiye,
Aur zindagi jine ke liye aap chahiya.

Ye dil na jaane kya kar baitha.
Mujhse puche bina hi faisla kar baitha.
Iss zameen par toota sitara to nahi girta.
Aur ye pagal chand se dosti kar baitha.

Raat ko pocha mujse chand sitaro ne
tumko bhula diya tere jigri yaro ne.
Maine kaha k bhule nhi hai faryad to karte honge,
mera sms padh k yaad to karte honge.

Jab Aapka Naam Zaban Par Aata Hai,
Pata Nahi Dil Kyo Muskurata Hai.
Tasalli Hoti Hai Mann Ko Koi To Hai Apna
Jo Haste Hue har waqt Yaad Aata Hai.

Socha yaad na kar k thora tadpaye unko,
kisi aur ka naam ley kar jalayain unko.
Par koi chot unko lagi to dard hame hoga,
ab koi ye bataye k kis tarah satayein unko.

Tere Bina hum jeena bhool jaate hain…
Zakhmon ko seena bhool jate hain..
Tu zindagi main sabse azeez hai hamain..
Tujhse har bar yeh kehna bhool jaate hain.

Apni KHAMOSH zindagi main bolana mujhko,
Apni HASEEN khuwab ki TASVEER banana mujhko,
Main jo POCHON tumhara HAAL-e-DIL,
To apni har DHARKAN ki AWAZ sunana mujhko

Din beet jatey hain suhani yadain ban kar,
Batein reh jati hain kahani ban kar,
Per dost to hamesha dil k qarib rahenge,
Kabhi muskan to kabhi ankhon main pani ban ker..


Wadiyon se soraj nikal aaya hai,
Fizaon me naya rang chaya hai,
Aap kion udaas baithay ho,
ab to muskura do, hamara SMS aaya hai

Har waqt kaam mein itne na ulajh jaya karo,
Kabhi hamari yaad ko bhi dil mein laya karo,
Milnay ka waqt maat nikalo par,
Kabhi apne sms ki awaz to sunaya karo.

Jugnu ko qaid kar k muskaraya na karo,
Roshni ki khatir kisi ka dil jalaya na karo,
Sitam karna hai karo par itna na karo!
Yaad nahi karsakte to yad aaya na karo….

Hum chat par charhe patang urane ke bahane,
Wo bhi chat par aayi kapde sukhane ke bahane,
Uske mummy ne jo dekha ye haseen nazara,
Jhadu le aayi wo bandar bhagane ke bahane.

Mene kab chaha k wo zindagee mere name kare,
Bas mujhe chahe itna sa mera kam kare,
Har roz kuch lamhe mujhe socha kare,
Kab kaha meri yaad me subha sham kare

kabhi wo hum pe jaan dia karti thi
jo kehtay they wo maan lia karti thi
kal anjaan ban kar paas se guzar gai
Woh jo door se pehchaan lia karte thi…

Khulle paare hain meri zindagi kay saare warq
Najane kab koi aandhi ura kar lai jaii
Kisi ka dard kahan tak apnay pass rakhon
Ye jis ka ho wo nishani bata kar lai jai

Is dil ka kaha maano ek kaam kar do,
Ek be-naam si mohabbat mere naam kar do,
Meri par faqat itna ehsan kar do,
Kisi din subha ko milo aur shaam kar do.

Ap ki nigah agar meharban ho jai
Main jis zameen pe hoon wo asman ho jai
Hai ab bhi aap ko shak mere dosti per
To phir ik baar mera imtehan ho jai

Sulagti raat ghani chandni si hoti hai
Tumhare sath ye duniya nayi si hoti hai
Gale mein uske khuda ki ajeeb barkat hai
Wo bolta hai to ik roshni si hoti hai
Kiran nikalne se pehle gulab dekhe hai
Tumhari yaad mein wo tazgi si hoti hai

har koi in honton pe muskan lana nahi janta,
har koi is dil ko churana nahi janta,
ek tum hi to ho jo hum se jeet gaye,
warna har koi humain harana nahi janta.

Nazaro se nazar tum churao ge kab tak,
Pyaar apna aakhir chupao ge kab tak,
Mere paigam aapko milte rahainge yuhi sada,
Message meray mitao gey kab tak…

Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega
Terey merey darmiyaan bas ek khalaa reh jaayega
Aks beh jaayenge saarey dhoop ke sailaab mein
Aur koye paaniyoun mein jhaankta reh jaayega
Mujhko merey humsafar, aisa safar darpesh hai
Raasta kat bhi gaya tou faasila reh jaayega
Laug so jaayenge khaamushi ki chadar odh ker
Chaand sooney aanganoun mein jaagta reh jaayega

moom ki tarha pigalty howe dheka usko,
rut jo badli to badalty howe dheka usko..
wo jo kanto ko b narmi se chuwa krta tha.
humney phoolo ko masalty howey dheka usko ,
jany wo mangny jata hy duwaoon mai kisy,
hath uthathy he sisikty howe dheka usko

No comments: