Wednesday, January 02, 2008

ab to har taraf bahaar hi nazar aate hai,
jaha nazar jaaye waha bas yaar hi nazar aate hai,
zamaane me log to bahut mile hamko,
par aaj kal bas hamare sarkaar nazar aate hai..........

unki zindagi hampe khuda ki meharbaani hai,
shaayad unka gham mere pyaar ki nishaani hai,
afsos ham chaah k bhi use khush na rakh paaye,
jo mere pyaar me is kadar deewani hai

kinaaro ko jodta hai nadi me bahta paani,
dono ko jodta hai nam aankho me bahta sagar,
pyaar ki gahraayi wo kaise samjhega,
jo kehta hai ishq me doobe hue do dilo ko pagal..........

madhosh is kadar hai aapki khumaari me,
raate kat rahi hai meri ab to bekarari me,
aagosh bhi kahta hai kab meri pyaas bujhaaoge,
likh raha hu ye sher bas yaad tumhaari me

sapno me hoti hain aankhe chaar,
ye to bahut hi achha laga vichaar,
hakikat me to mil nahi sakte,
sapno se hi kaam chalaiye sarkaar

chhup gaye wo jakar kanhi shayad hame satane ko,
lekin ham unki yaad me bhool gaye zamane ko,
koi unhe jakar ye bata de,
ki taraste hai ham unki ek jhalak paane ko

majboor mohabbat ka ye fasana hai,
yanha mohabbat ka na to dushman jamana hai,
bas kismat k hatho kitne majboor hain dono,
bas paa nahi sakte,samne mohabbat ka khazana hai

No comments: