Wednesday, January 02, 2008

nazro ka kasoor

husn ne iskq pe ilzaam lagaya hai,
dil pe lagi hai chot ye raaz bataya hai,
gusse me to itna hai ki pyaar kar kar k mar daale,
unke isi gusse pe to hame pyaar aaya hai.........

Shukriya aapko jo ham par pyar aaya,
Ye bhi to aapka hamper ek ehsaan hai,
Dil to karta hai apko teer-e-nazar se maar dalen,
Par aap me bhi to hamari hi jaan hai……
__________________
uff ye adaaye ab aur na dikhaaiye,
kasam hai aapko ab teer-e-nazar aur na chalaaiye,
aapko pyaar karna khushnaseebi hamari hai,
mar jaayenge ham ab pyaar aur na jataaiye

Nazro ka tha kasur par saza dil ne paai,
ye dil bahut roya jab judai ki ghadi aai,
wo chal diye hamse lekar na milne ka vada,
saza bhi de di hame or khata bhi nahi batai................

Hame raat bhar unka khayal aaya,
tab dil me hamare ik sawal aaya,
Kya unki bhi haalat hogi hamare jaisi,
to dil se hamare "haan" me jawab aaya

kabhi dil to kabhi shama jala ke roye
teri yaadon ko dil se laga ke roye
raat ke aagosh me jab so gaye duniya sari
ae-dost chand ko teri tasvir bana ke roye

No comments: