Sunday, January 06, 2008
farz karo
Farz karo hum dono darya kinare bethe hon
batein hum karte jayein aur paoon paani mein geelein hon
mein rooth kar tumse kisi baat pe kafa hojati hoon
meri zulfon ko pyar se hata kar mujhko phir manate hon
mein tumhari kisi baat pe zor se hansne lagti hoon
tum ulfat aur chahat se mujhe takte jate hon
mein kucch sharma kar kucch ghabra kar nazrein jhuka leti hon
tum meri iss halat per aik qehqaha teiz lagate ho
hum uth kar phir sahil se sath sath chalte hon
mere kho jane ke darr se tum khaufzada hojate hon
darta hooon mein tumse kahin biccharrh na jaoon
thaam kar tum meri kalayi armano se kehte hon
farz karo ke aaj bhi tum sirf aur sirf mujhko hi chahte ho
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment