Woh beeti huyi shaam apne saath yaadon ko bhi le gayi
Woh aansuon main bheegi huyi ek dastaan bhi thi keh gayi
Bayaan karta hoon apne lafzon main zazbaaton kii ek kahaani
Pariyon si ek ladki kii ek dard bhari kahaani
Yeh dastaan thi ek masoom pari kii jispe pyaar ka saaya tha
Jo toot gayi thi tabse jabse kissii ne oose thukraaya tha
Khamosh ho chuke labon par ek sannaata chha jata tha
Ashqon se bheege huye chehre se jab zulfon ko main hatata tha
Muskuraati thi woh hardam harpal woh muskati thi
Main poochhta tha dard uska woh nagme gungunati thi
Jab bheeg jati thi palkein kissii ko yaad karke
Dekhti thi meri taraf dil k tukde char karke
Main thaamna jo chahta kabhi who door hat jaati thi
Mujhse apni dooriyon ka ehsaas bhi dikhati thi
Bebas thi woh dil k haathon aur is zamaane se anjaan thi
Nafrat bhi kaise karti woh ,oose sirf pyaar kii pehchaan thi
Maine chhoda oose kucch waqt akele uski tanhayee main
Dil ne roka mujhe bahut par chal diya de kar oose judaaii main
Jab lauta main vaapas woh phir se muskuraayi thi
Shayad kissii k pyaar kii chamak uski aankhon main ootar aayi thi
Oosne bhar k mujhko baahon main pyaar se dekha tha
Jab maine oosse uski khushi ka raaz poochha tha
Sharmaayi thi woh phir oosne dheere se sar ko jhukaya tha
Bataya oosne kii dil uska phir kissii par aaya tha
Main khush tha oose dekh kar uski khushiyon main muskuraya tha
Par phir kyun ootha ye dard sa dil mein main isko samajh na paya tha
Main phir chal diya alag raah par oose chhod kar uski duniya main
Tanha reh gaya tha main jaise kyun main ise samajh na paaya tha
Door tha main phir oosse par uski yaadon se nahi tha
Shayad main pehli baar uski khushiyon se khush nahi tha
Beete qayi din woh yaadon k saaye main thi kho gayi
Zindgi k ek mod par oosse mulaqat phir se ho gayi
Main dekhta raha oose woh mujhko dekhti rahi
Maine poochha na oosse kucch aankhon main baat ho gayi
Thukraaya tha aaj oosne kissii ko jaane kya baat thi ho gayi
Jaise who har gham se har khushi se anjaan ho gayi
Kucch na kaha maine oose bas phir se dosti ko thaam liya
Mohabbat k qayi roop hai bas is baat ko maan liya
Na chahat thi kissii aur kii na kissii k pyaar kii aarzoo thi
Bas who mere saath thi na ab kissii kii talaash thi
Dastaan ye yahin par khatam nahi hoti hai
Ye zindgi kii iske har panne par nayi ibarat likhi hoti hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment