Sunday, January 06, 2008

ajnabi duniya

Lamhe nahin hote thehar jaane ke liye ,
waqt ki hayat hoti hai guzar jaane ke liye !!
na jaane kitne aiine fana ho gaye mujhme ,
jab bhi dekha unhe sanwar jaane ke liye .
hazaar sooraj bhi hon to kya kare koi ,
jab dil kare zidd chand par jaane ke liye .
=duniya ke sitam kya kam the dil jalane ko,
tera ghum bhi chala aaya, dilmein utar jaane ke liye .
kyun hawa ko fizool ilzaam dete ho ,
shama ka wajood hai bikhar jaane ke liye !!!


Nahin ban jata koi apna yuhi dil lagane se,
Karni padti hai dua Rabse koi apna pane me,
Rakhna sambhaal kar ye rishte apne,
Toot na jaye ye kisike behkane se


Dil k bazar me daulat nahi dekhi jati,
Pyar ho jaye to surat ni dekhi jati,
ek hi insan par Luta do sab kuch,
kyuki pasand Ho cheez to keemat nahi dekhi jati

Yun hi sapno se dil lagaya karo,
Kisi ke khawabo mein aya zaya karo.
Jab bhi dil kare ki hame koi manaye,
Bas hame yad karke ruth zaya karo!

Meri saanso se tum shikava karte ho,
chup chup ke chahat ka sauda karte ho,
tum hi socho yeh kaisi majburi hai
mujhme reh kar mujh se hi parda karte ho.

Chand ka kya kasoor agar raat bewafa nikli,
Kuch pal thehri phir chal nikli.
Usne kya kahein who to sache the,
Shayad hamari taqdeer hi humse khafa nikli

Is anjnabi duniya mein,Akela ek khawaab hu,
Sawaalo se khafa,Chhota as jawaab hu,
Jo na samjh sake,Unke liye "KOUN",
Jo samajh chuke,Unke liye kitaab hu ,
Duniya ki nazar mein,Jaane kyu chubha as,
Sabse nashili aur badnaam sharaab hu,
Sar uthakar dekho,Wo dekh raha hai tumko,
Jisko na dekha usne,Wo chamakta aaftab hu,
Aankh se dekhoge,To khush paoge,
Dil se poochoge,To dard ka sailaab hu ........!

No comments: