Thursday, January 17, 2008

zamana ho gya (a)

Barson ho gaye raakh bane huwe
Par dhuwa uthta baar baar kyon hai

Zamana ho gaya zakhm lage huwe
yeh rista baar baar kyon hai

Mohobat dard ban kar reh gaye
Ashqon ka sailaab tutta baar baar kyon hai

Jeetne ki koshish karte hai hamesha
Par mukaddar harta baar baar kyon hai

Koi sahil pe pahuche bhi kaise
Yahan tufan guzarta baar baar kyon hai

Har lamha badalti hai fitrat jinki
Unse dil darta baar baar kyon hai ...::(((

No comments: