Monday, January 21, 2008


Aati hai teri yaad kisee teer ki tarah,
pathar ko chirtee hue takdeer ki tarah,
yeh baat aur hai ki mai ranjha na ban saka,
chaha zaroor tujhe maine kisee heer ki tarah....

Kabhee zamaane ki baton ka humper asar ho jaaye
Phir ishq ka rog lage or zindgi basar ho jaaye,
Haan kuch logon ne jo may(shraab) ko zahar ka naam diya
Wo jo saath den to ik pyaala zahar ho jaaye

Samne ho manzil to raaste na modna,
Jo bhi mann mein ho wo sapna na todna,
Kadam kadam pe milegi mushkil aapko,
Bas sitare chun-ne ke liye kabhi zameen mat chodna.

Zindagi mein kai mushkilein aati hain,
Aur insaan zinda rehne se ghabrata hai,
Na jaane kaise hazaaron kaanton ke beech,
Reh kar bhi ek phool muskurata hai.

No comments: