Thursday, January 17, 2008

asaan hojata (a)

kash! tujh say bichadna itna asaan hojata
waqt k sath tera dard bhi fana hojata
jo tu ne naa kaha woo bhi bayan hojata
ek hasraat thi tere ghar k samne mera ashyaan hojata
kash!teri baton ko suna ghoor say hota
tu aaj likhna kuch assaan hojata
tujh say milte aur kabhi bichadh naa pate
kash! aisa koi mujaza hojata
tum ne agar bas nazroon say bhi kaha hota
tu aaj mera ye ghazal pora hojata
iss tarah Danish teri ye ghazal meri yaadon main jawan hojata

No comments: