Friday, February 29, 2008

bas itni si inayat


Ankho se moti bikhrenge ruk na payenge,
Teri yaadon ke sahare hum tujh tak aa jayenge.

Umar gujar bhee gayi to kya
Dhadkan ke bina bhee tujh se ulfat nibhayenge..

Aisa nahi ke hamare dil ko kisi se pyar na hua
pyar to hua magar pyar ka kabhi izhaar na hua,
do gaz zameen to hume bhi naseeb ho jati magar
maut se hi hamara ab tak koi karaar na hua

hamne bhi to kisi ko dil me basaa rakha tha,
yaar ki yaadon ka bichhauna bichha rakha tha
ab kaante usme nikal aaye hain to kya keeje
marham to hamne bhi jakhmo pe laga rakha tha

Na Neened Ati Hai Na Chain Ata Hai
Koyee To Bataye Aisa Kyu Hota Hai
Chalte Chalte Kadam Ruk Jate Hai
Jaise Koyee Awaaz De Raha Hota Hai.

Nahi laite hain uska naam sar'e aam is darr se,
Kahin naam uska badnaam na ho jaye,
Sochte hain aksar darte hain tanhai mien,
Uske dil mie kisi aur ka mukam na ho jaye....


Kyon rakhu main apni kalam mein syahi ?
Jab koi "Armaan" dil mein machalta hi nahi .
Na jane kyon sabhi shak karte hain mujh par .
Jab koi sukha phool meri kitab mein milta hi nahi .
Kashish to bahut thi mere pyar mein,
Magar kya karu koi pathar dil pighalta hi nahi.
Agar "Khuda" mile to us se apna pyar mangunga,
Par suna hai ke vo marne se pahle milta hi nahi........

Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye
Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye
Ho jaaye begaane aap shauq se sanam
Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye
Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye
Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye
In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye
Karna hai ishq aapse karte rahenge hum
Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye
Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye
Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrat
Hum pyaar ke deewanee hain humey pyaar kijiye

No comments: