Sunday, May 25, 2008

rang barsaat ke


Saath Dil k chale Dil ko na roka humne,
Jo na apna tha usse toot ke chaha humne,
Ek dhoke mein kati UMR saari humari,
Kya bataye kise paaya kise khoya humne

Door tak chhaye thay baadal, or kahin sayaa na tha
Iss tarha barsaat ka mousam, kabhi aaya na tha
Kya milla aakhir tujhay, saayon kay peechay bhag ker
Ay dil-e-nadaan tujhay, kya hum nay samjhaya na tha
Uff ye sannata, kay aahut tak na ho jiss mein mukhal
Zindgi mein iss qadar, hum nay sakoon paaya na tha
Khoob roye chhupp kay ghar ki, chaar deevaari mein hum
Haal-e-dil kehnay kay qabil, koi humsaaya na tha
Ho gaye qallaash jab say, aas ki doulat lutti
Paas apnay or tu, koi bhi sarmaaya na tha
Voh paighember ho kay aashiq, qatul gaah-e-shouq mein
Taaj kaanton ka kissay, duniya nay pehnaaya na tha
Ab khulla jhoonkon kay peechay, chal rahi thin aandhiyan
Ab jo manzar hay, voh pehlay tu nazar aaya na tha

Humne apne vade kuch is tarah nibhaye hain,
Zkham se baha lahu fir bhi muskurayen hain,
Unhe junun apna karz chukane ka,
Apni khushi apna wajud mitane ka
Hamain bhi shauq mohabbat aazmane ka,
Inhi haathon se unki sej sajayen hain
zakhm se baha lahu fir bhi muskurayen hain.
Guzarish unki aankhe nam na ho meri,
Diya jo vada to na uff karenge kabhi,
Ashkon ke dariyon ko tham lenge yahi,
Kosish mai hoton ne kitne ghav khayen hain,
zakhm se baha lahu fir bhi muskurayen hain.
Dua hai ki ab zindagi mai koi majburi na ho,
Jise tum milo us se ab koi duri na ho,
Meri tarah uski kismat adhuri na ho,
shaakh se gir kar kai phool murjhayen hain,
zakhm se baha lahu fir bhi muskurayen hain

Meri Khamoshi thi jo Seh Gayi
Uski yaadein hi ab dil mein reh gayi
Thi shayad uski bhi koi majburi
Aaj meri kahani fir adhuri reh gayi....
_________________
rang barsaat ne bhare kuch to
zakhm dil ke hue hare kuch to
fursat-e-bekhudi ganeemat hai
gardishein ho gayin pare kuch to
kitne shoreedah sar the parwaane
shaam hote hi jal mare kuch to
aisa milna nahin tera milna
dil magar justujoo kare kuch to
aao! Dharam koi ghazal chherein
jee bahal jayega are kuch to

No comments: