Sunday, May 25, 2008

umar kat chuki


Wada tod ke muskurate hai woh,
Dekhna unhe ek din pachtana hoga,
Mudaaton kiya hai intezar sanam ka,
Umar kat chuki hai ab to unhe aana hoga.......
Roye hai bohot tab zara karaar mila hai,
Iss jahan mein kise sacha pyar mila hai,
Guzar rahi hai zindagi imtehan ke daur se,
Ek khatam hua to dusara tayar mila hai,
Mere damaan ko khushiyon ka nahi malaal,
Ghum ka khazana jo issko beshumar mila hai,
Woh kam naseeb hai jinhe apnapyaar mil gaya,
Main khushnaseeb hu mujhe to intezar milahai.................

Raat gumsum hai magar chan khamosh nahi,
Kaise keh du aaj fir hosh nahi.
Aisa duba teri aakho ki gehrai main,
Haath mein jam hai magar pine ka hosh nahi


teri aankhon se kaash koi ishara to hota,
kuch to meri jaan jeene ka sahara to hota,
tod dete hum har ek rasam zamane ki,
tune ek baar mohabbat se pukara to hota!!!!!!

No comments: