Sunday, May 25, 2008

laot ke aane wale


laut ke ab to aa ja oh jaane waale
jeene nahi dete ye zamaane waale

teri yaad me kahin pagal na ho jaaon
koi sada to de de bhulaane waale

sari sari raat jin bahoon me guzarti thi
kahan hain ab wo haath muje sulaane waale

"sun le, tere bin ik pal sadi jaisa lagta hai"
aankhoon me intezaar sajaane waale

ab to apne bhi gaali taane dete hain
pahle kya kam thay ungliyaan uthaane waale

meri bebasi aik mazaaq ban ke rah gai hai
bare be-reham hain mazaaq uraane waale

"kabhi nahi aae ga wo laut kar"
kaafir hain log aisi afwaa pahlaane waale

muaashray mein har koi izaat ki baat karta hai
magar tamaashai hote hain izaat uchaalne waale

yahan to door kharay ho kar "nazara" dekhte hain
paani bhi nahi daalte aag lagaane waale

har akeli aurat ko tawaaif kiyon samaj lete hain
log kothay par naach nachaane waale

dam nikalne waala hai - ab to aa ja zalim
qandhay kam parh ge hain janaza uthnaae waale

No comments: