Sunday, May 25, 2008

jee rahe hain

sh jab bhi uski chhat ko bhigoti hogi
wo bhi meri yaad mein roti hogi
wo kare lakh mana magar mera naam sunkar
halki si chubhan uske dil mein bhi hoti hogi
Hum to luta chuke hain sab kuch pyar mein
ab chain se wo bhi kahan soti hogi
Ji rahe hain milan ke chand lamhon ke sahare
wo bhi akele mein meri yaadein sanjoti hogi …

jab tammanna phool si khil jayagi
tab koi payari gazal ban jayagi
ho bhalayi ka tassavoor zahan main
ye zameen jannat tabhi ban payagi khushbuain ho jab fiza main payar ki
her kali phir phool ban khil jayagi aankh se annsu uthaker pijiye
phir dilo ki durian mit jayagi
apne derwaze se kundi khol de
padosion ki khidkiyan khul jayagi gair ke gam ko tu apna jaan le
khak-a dunia main bahar aa jayagi

Uski gali mein phir mujhe ek baar le chalo
Majboor kar ke mujhe mere yaar ley chalo
Shayed yeh mera vehm ho, mera khayal ho
Mumkin hai us ko mere baad, mera malal ho
Pachta raha ho ab mujhe, dar sa utha ke woh
Baitha ho meri raah mein, aankhain biccha ke woh
Us ne bhi to kiya tha mujhe pyar, le chalo…
Uski gali mein phir mujhe ek baar le chalo…….
Deewana keh ke logon ne har baat taal di
Duniya ne mere paaon mein zanjeer daal di
Chaho jo tum to mera muqaddar sanwar do
Yaaron yeh merey paaon ki bedi utar do
Us ne kiya hai milne ka iqrar, ley chalo

No comments: