Sunday, June 25, 2006

ye aankhen

Zamane ne mujko thukra diya hain Maut ke aur kareeb la diya
hain Kabhi mud ke jo peeche dekhta hoon Sochata hoon,
duniya ne mujhe kya diya hain? Woh jisne mohabbat ki baazi na kheli
Kya khaak zamane mein woh insaan jiya hai Hamari tumhari kuch alag baat hogi
Ishq to duniya mein bahuton ne kiya hai Bin piye jo main ladkhadda raha hoon
Yeh aankhon ne teri bataa kya kiya hai Manzil ki talash mein gaya tha
musafir Raaste ne khud usko bhatkaa diya hai

No comments: