Sunday, June 25, 2006

dil ki bimaari


Tere ishq mein tadpenge isska koi gham nahin,
Pyaar ik tarfa ho to bhi kuch kam nahin,
Tere didar se chalti hein ye saanse meri,
Dil mein basi chahat par koi bas nahin.

Kyun sochke usi daayre mein khada patein hein khudko,
Jahaan bhi nazar jaye wahan pate hein sirf tumko,
Chahein bhi to nahin bhula sakte hum tumhein,
Tum chaho to bhi na yaad rakh sako humko

Yunhi baithe rehte hein hum jis aashiyaane mein,
Aaj milon ka safar hai usse nazarein milaane mein

Chehre pe layee muskaan aapki yaadein,
Har saans layee tufan aapki yaadein,
Dil yun hi to nahin dhadakta aise,
Har dhadkan mein samai aapki yaadein

Kya sher kya nazm kahun mein aakhir,
Teri saal girah ke nahin hai kaabil,
Teri taarif mein alfaaz bhi hein kum,
Tu khush rahe bas yahi chahte hein hum

Saare jahaan ka husn simat kar tujhme samaya,
Tera didar dilon mein tufan sa laya,
Teri chahat mein logon ne khudko deewana paya,
Kisiko na baksha tune sabpe pada tera saaya.

Har kisine iss dil ko di hai ye bekarari,
Mere jazbaton se khelne ki ab tumhari hai bari,
Tum bhi ye ehsaas dila hi dena mujko,
Kisi kaam nahin aati ye dil ki bimaari

No comments: