Sunday, June 25, 2006

waqt ki kalam

Vakt ne kalam uthaai
Khoon bana shyahi
Dil ke kaagaz per
Likh di Tabaahi

Unn dino ki yaad ne aaj dilko phir rulaaya hei
Sur ke adhurepan ne, nagmo ne tumhe phir bulaaya hei
Tere jaane ke baad se dil mera khamoshi se dhadka
Khamosh mere dil ne, aaj kuch phir gun-gunaaya hei


Subah aayne mein anjaan sa chehra nazer aaya
Kitne badal gaye hei hum aaj hume hos aaya

Vafa-e-ishq mein hum luut jaayenge Aur tuje majboor kar jaayenge
Humei chahne ko tum majboor ho jaaoge Aur hum tumhe chorr jaayenge
Kasam hei mujhe apne pehle pyaar aur vafa ki
Jo dard diya hei tune mujhe Ush dard ka tuje ehsaas karvayenge

Jabh aankh mein nami si hoti hei,
Dil mein kisiki kami si hoti hei,
Jabh aankh jukh jaaye toe nami sukh jaaye,
Par koi bataaye kaise dil ka dukh jaaye...!

No comments: