Aaj jo gham hai woh nahin hota,
Aankh jo nam hai woh nahin hoti,
Har taraf khushi ka nazara hota,
Gar tumne dil se pukara hota,
Hum bhi kehte chahte hein tumhein,
Gar tumne hamein chaha hota.
Samajh ke tere dil ka haal phir bolun zubaan se mein kuch,
Meine bhi bahut chot khai hai mujhse mera haal na pooch
Tu baitha hai dil mein to hun mein,
Har saans hai teri par jiyun mein,
Tu haath phiraye to sovun mein,
Tujhe neend na aaye jo rovun mein,
Tu baitha hai dil mein to hun mein.......
Bin maange mila jo na sochun mein,
Tujhse mangta javun na rukun mein,
Tu saath na chhode chhodun mein,
Tu baitha hai dil mein to hun mein.......
Aaj bujh gaye hein ghar ghar mein diye sanskar ke,
Maa baap bhi kimat maangte hein bachon ko sambhal ke,
Sirf matlab se bante hein rishte bhi yahaan pyar ke,
Kaisi duniya hai jahaan jiya bhi jata hai doosron ko maarke
Kuch sunane ki chahat dil mein badhti gayi,
Hamare sunaane pe unki waah jo nikalti gayi
Naye saal ka naya pal naye palon ki nayi khushiyan,
Waqt to beet jaata hai par badalti nahin ye duniya.
Dil ke raaston aur soch ki galiyon se guzarte dekha,
Pyaar aur jazbaaton ko yahaan kuchalte dekha,
Zindagi ko mohabbat ka naam kaise de jahaan ,
Har shakhs ko hamne zindagi mein badalte dekha.
Tere bina bhi ye dil nahin manega,
Tujhse juda rahun ye dil nahin chahega,
Tere saath beete har pal ki kasam,
Ab aa jao varna mera janaza jayega
Kyun pyaar hai ye jooth jatate ho,
Mein tumse zyada pyaar karta hoon,
Har baar ye keh kar rooth jaate ho,
Bas itna hi pyaar hai tumhein mujhse,
Ki jabhi aate ho mujhe rula jaate ho.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment