Sunday, June 25, 2006

baadlon main chupa chaand


Tum saath ho tho mujhe andheron ki parwaah nahi
tum manzil ho meri mujhe mushkilon ki parwaah nahi
baadlon main chupa chaand phir dekho muskurata hai
yeh waqt do ghadi ka hai mujhe gardishon ki parwaah nahi
raah-e-zindagi main waqt kaise kaise imtehhaan leta hai
tum hamsafar ho jab mujhe natijon ki parwaah nahi
doop ke safar main aik din chaanv bhi aayegi
hausla tumne diya hai to mujhe faaslon ki parwaah nahi
gham ke samandar se umeedon ka keenara ab door nahi
tum kaashti ho meri mujhe tufaano ki parwaah nahi
agar is bedard duniya may tum rish-e-fiza hosaseh
tum hi hoo tho mujeh hawa-e-sameer ki parwaah nahi

No comments: