Wednesday, June 28, 2006

humara kya hoga


Yeh Kaliya Bhi Khil Uththi,
Baharon Ne Aane Main Der Kardi.
Aaj Woh Bhi Hamare Saath Hote,
Humne Izhar Karne Main Der Kardi

Itna Satana Acha Nahin Hota,
Maan Jao Ke Intzaar Acha Nahin Hota,
Woh Phool Hi Tho The jinko Hum Liye Khade Hai.
Ab Tho Woh Bhi Murja Se Gaye Hai,
Aapke Intzaar Main Woh Bhikar Se Gaye Hai.
Phool Toh Phir Bhi Khil Jayenge,
Humara Kya Hoga Jo Aapke,
Intzaar Main Khade Hain.

Khusboo ki poshak pehn karkaun gali mein aya hai ,
kaisa pehgham sath laya hai,
khidaki khaul kar bahair dekho
Mausam mere dil ki batein tum sey kehney aya hai

Meri Dil Ki Har Ek Dhadkan,
Tere Dil Ne Churaali hai,
Kiya Hai Humne Toh Izhaar,
Ke Ab Baari Tumhari Hai,
Jo Tum Keh Do Yeh Bas Ek Baar,
Ke Meri Dhadkan Tumhari Hai,
Dikha Denge Mohabbat,
Apni Duniya Se Nirali Hai.

Jab Aati Hai Yaad Tumhari,
Tab Main Gun Gunathi Hoon.
Kahin Aansu Na Aa Jaaye,
Isliye Muskuraati Hoon.


Aaj kuch kami hai tere bagair,
na rang hai na roshni hai tere bagair,
waqt apni raftar se chal raha hai,
bas dhadkan thami hai tere bagair

No comments: