Wednesday, June 28, 2006
tum door sahi
Andhere raston mein miloonga umeed ki kiran bankar
Thak kar baithogi to chaya doonga taruvar bankar
Akeli rah gayi kabhi to saath chloonga saya bankar..
Rishtey ko gar tum naam na do.rah loonga pass anjaan bankar
'
Ab to parchai se bhi ghabrane laga hoon..
Jane kyon tere pass bahut pass aane laga hoon..
Roka to bahut maine apne nadaan dil ko...
Ab to pairon ko bhi smajhane laga hoon...
Kya Hua gar woh mera apne dushmano mein shumar karte hain...
Main khush jankar ki kisi bahane se to mujhe yaad karte hain
Tumhari mushkurahat bolti hain ki mera hi khayal dil mein aaya hain
Yeh mera hi pyar hain to Jo tere hothon par hansi ban kar chaya hain
woh baat poochte hain main baat kya kahoon..
unpe hi fida hoon par unse kaise kahoon
Jab kabhi taqdeer tum par meharban hogi...
woh yahin soch kar bahut preshaan hogi
Ki gar tere dar par woh khud aa bhi jaye to ...
Kya tu bina makeup door kholne ko tyaar hogi
baat kisi ka bhi ho magar mujhe baat uski hi lagti hain..
pukaroon kisi aur ko to bhi awaaz usko hi lagti hain..
har chehre mein hain wo aur har hansi mein wo hi hansti hain..
mujhe dosh na do yaron woh mujhe acchi hi itni lagti hain..
tum door sahin par teri sanson ka ehsaas ab bhi meri sanson mein hain
Tu meri jndagi mein ab nahin par tu hi tu mere khayalon mein hain
Tumhe bhool jate hum magar tu mahfilon mein hain tanhayion mein hain
Tujh se gila ab kya karen tu hi sawalaon mein hain jawabon mein hain
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment