Wednesday, June 28, 2006

wo door hain


voh door hai aur mujh tak awaz aa rahi hai
khyalo ki tarah mere daman pe chha rahi hai
ab bhi us mithi lay me voh gunguna raha hai
ab bhi voh rafta rafta naghma suna raha hai

chaho to apne sine me dil ki tarah chhupa lo
chaho to apni aankho me sapno ki tarah basa lo
main to tumhari amanat hun hamesha se chaho to
apni muhhabat ki doli me mujhe dulhan sa saja lo.

Sham suraj ko dhalna sikhati hai,
Shama parwane ko jalna sikhati hai,
Girne wale ko hoti to hai takleef,
Par thokar hi insaan ko chalna sikhati hai.

No comments: