Wednesday, June 28, 2006

dil main chupi baat


Dekha hai jab se tumko humney
Aur kuch nazar aata nahin
Kya karein tumharey sivaye
Dil ko koi bhata nahin

Mat poocho kaise beet-tey hain woh pal
Jab hota nahin deedar aapka
Dil mein hi ghar bana lijiye
Naa karna padey intezaar aapka


dil mein chupi baat ko ek baar jo pehchaan lete
lab jo na keh paye woh aankho se jaan lete
zuban humari himmat na kar payi,
lekin is dil ki dhadkan ko to kaash aap pehchaan lete

Humne diya tha usko dil ek bar
kiya tha us se pyar ka ikrar
phir kiya usne humse inkar
ho gaya tha unko kisi auur se pyaar
humne kiya unke faisle se etbaar
Dil humara tha ,haath unke they
khoon humara tha,khanjer unke they
phir bhi manzoor hume har zulm unka tha
kyonki shayad phir bhi pyaar humara unke liye zinda tha .!!


kambhakt kaun chahta hai wo ikraar kare
ankhein jhuka bhi denge to hum kaise wishwas kare
uske ek jhoot se tabah ho gaye hain hum
shayad koi aur mile, isi ummeed me jee rahe hain hum.


Annkhon ka jhukna bhi shayad unka pyaar hain,
Ikrar ke pehle ek chota sa inkaar hain
.aise pyaar mein thodi haya toh hogi.
chote se safar ke baad manzil zarror jawa hogi.
kyon kisi auur ko doondhe hum ?
jab unko aankhon ki gehrai mein,
mit gaye humare saare gum.
aise jhoot ki tabahi abaad hone se behtaar hain,
unke paairo ke aahat ke intezar mein hum hain,
is intezaar mein poori zindagi nikal jaye woh bhi thodi si kaam hain.

No comments: