Thursday, June 22, 2006

dum labon par hai

kismat ne door fenka,mukaddar main thi judaai
aansoo khaali gir pade,jab yaad tumhari aai
takdeer se kya sikwa,jab kismat humse rooth gai
jis phool par humne haanth rakkha,saakh wahan se toot gai

mohabbat ki manzil bahot door hai
itni door akele hum ja na sakejo zindgi ke liye zaroori ho gaya tha
wo kuch bhi hum pa na sakechahat itni badh gai,ki khoon main rach gai
baat jo aaj tak hume satati haiwo dil se hontho tak la na sake

daag daman ka dil se mitaya na gaya
humne laakh chaha aapko bhulaya na gaya
roothne wale se koi ye to pooche ki
aap khud roothe hain,ya humse manaya na gaya

kai meethe pal yaad aate hain
palkon par aansoo chor jaate hain
kal koi aur mile to hume na bhulana
dosti ke riste zindgi bhar kaam aate hain

dum labon par hai,agar ab bhi nahi aaogelaas paoge meri,
mujhe nahi paogeyahi behtar hai,
tum mera haal na poocho mujhse
tum mera haal sunoge to tadap jaoge

ek thandhi subah main,aapki yaad aai
yaad bhulaane ke liye aag jalaai
khuda ki kasam,aysi kayamat hui
dhuwen main bhi aapki tasveer nazar aai

mana kabhi dil ki baat na btaoge
par aankho main jo hai use kayse chupaoge
wada raha tumse ye hamara
jab bhi phone uthaoge hamara sms paoge

is anudhao ke beech,koi chehra nazar aata hai
aaj is viraani jagha koi saya nazar aata hai
kabhi kabhi ye aankhe is kadar num ho jaati hain
jab bhi mujhe tere wadon ka khyaal aata hai

aaj door fizaon se,ye paigaam aya hai
dosti ki zubaan par hamara naam aya hai
hoga duniya ke liye ye kagaz ka tukda
aaj dekho humare kitna kaam aaya hai

ek dulhan ki tarha, tujhe saza kar rakhun
chandni raat ki nazron main tumhe chupa kar rakkhun
lekin kya karoon meri takdeer mere haantho main nahi
warna zindgi bhar tujhko apna bana kar rakkhun

vo mere paas se guzar gae,mera haal tak na poocha
main kayse maan loon,vo door ja kar roye
mile jo raaste main,to unse kahna
main akela hoon mere paas aa kar roye

meri dhadkan tujhe bana kar,sang rahne ko jee chahta hai
mere khowab tujhe bana kar,sapne dekhne ko jee chahta hai
ye to hai hi mere dil ki aarzoo,tere liye,is liye
meri umar bhi tujhe de kar mar jaane ko jee chahta hai


chaand jo raato main mere saath chala
sayad mere saath mera gum baant raha hai
doobi hain meri ungliyan abhi tak lahoo main
kisi toote hue seeshe ko uthaane ki saza hai

yakeen ho chala hai,zindgi bewafa haimaot hi asliyat hai,baanki sab dhokha hai
mohabbat kahti hai jise duniya saarivo dil se khelne waalon ka mela hai
na kar yakeen tu is zindgi aur mohabbat parvo aayga aakhiri main hisse tere,vo dard aur fana hai ruswaiyon ka taaz pahan kar har aasiq ka zanaza nikla
yahi zindgi ki asliyat aur yahi wafaon ka sila hai
zindgi aur mohabbat dono hi barbaad karti hai
ek saath le jaati hain ek saath chorti hain
yahi dono ko wasool aur faisla hai

hume pana ho to khud ko khona hoga
chahte ho humari khusi to apne gum dena hoga

No comments: