Wednesday, June 21, 2006

dil ki gahraai

Aasoon se bhari, Ankhon ko chupata kaha,
Aakhir apna pyar joh khoya dil tuta…
Dhal gaya rishto ki shyam…
Uss raat mere mukkudar pe… Asma bhi roya…

Aap ki badd-dua bhi dua bann k lagi,
aapke har gham ne bhi sukoon diya,
hum zinda hai toh yeh jaankar k
pyarse na sahi par aapne hume yaad toh kiya…

Aaj arse baad jab suni uski awaaz,
toh laga ki mere bahut pass hai woh.
Ho gayi nam yeh aankhen jab hosh aaya,
aur paya ki kabhi naa puri hone wali aas hai woh.

Zindagi gar phool, toh tum khushbu ho...
Zindagi gar khwaab, toh tum aarzoo ho...
Zindagi gar jeena, toh tum meri zaroorat ho...
Gar Mar jaana, toh haaton mei tera haath ho...!!!

khuda se karne ek faryad baki hai,
Humne unse kahni kuch baat baaki hai,
maut aayegi to kahenge,
RUK meri jaan se abhi mulakat baaki hai.

Bina dard k ansu bahaye nahi jate,
Bina pyar k rishte nibhaye nahi jate,
Ae dost ek baat yaad rakhna
bina DIL diye, DIL paye nahi jate…

Yun toh bahut tha baatane ko,
zamaane se chup ke chaha tha apne chahne wale ko,
kya khabar thi yun tanha chod deega woh,
acha hua ki mere dukh ki khabar bhi na mil paaye zamaane ko. .......

samunder ko kya dukh hai bataa bhi nahin sakta,
aankhn mai aansuu laa bhi nahin sakta,
tu saath chhodkar jaa rahi hai mera kasoor nahin tera,
har shaksh mera saath nibha bhi nahin saktaa.......

No comments: