Sunday, June 25, 2006

pyar ka tofa


Mein shayari likhna chahta hoonKalam se sihayi nahin aati
Jab sihayi aane lagti haiTo teri yaad hai aa jati
Jab yaad aane lagti hai
Fir yaad nahin jaat
iBas rah jaati hai teri yaad
Aur sookhi hui sihayi ...

kaash ye dil koi bantne ka saman hota
kaash hamare paas do char dil hote
unke sharafat ko salam karte huye
unko bhi ek dil tofa me hum pesh karte.....

Pehli baar aap ki rang bhari mehfil mein aaya hoon
Naye Mausam ke pehle sher aap ki khidmat mein laaya hoon

No comments: