Wednesday, June 28, 2006

na lagaao pahre


Woh kuch is tarah katraanay lagay Ki guzray huay din afsaanay lagay
Kal tak to thay jo izhaar-e-muhabbat Wahi aaj hawas kay bahaanay lagay
Na lagaao pehray is khusbu par Jiskay haasil maiN mujhay zamaanay lagay
Pighal jaatay thay jo baahon main kabhi Ab faaslay itnay banaanay lagay
Guzishta shub ka kar kay khyaal Shrmaa kay aanNkh churana chahay
Poocha hai to keh di dil ki baat Ab na kehna tujhay rulaanay lagay

No comments: