Sunday, June 11, 2006

Dil ki aas

Log har mod par ruk ruk ke sabhalte kyoN haiN
Itna darte haiN to fir.. ghar se nikalte kyoN haiN
Main na jugnu huN na diya huN na koi tara huN
Raushni wale mere naam se darte kyoN haiN

soch te hai hum ki unse kya kahe
dil ka dard kaise unhe bayan kare,
darte hai ki kahi woh inkaar na kare,
is zakhmi dil ko aur bimaar na kare.

koshishe bahut ki khood ko khush rakhne ke liye
hasi bhi nakli kahi se kharid li hai humne
maloom nahi par phir bhi kyun yeh dil udaas hai
is bekarari main jaane kiski aas hai

Lakh pardon mein duniya ne tumhe chhipa rakha hai,
chnd pardon mein tumne khud ko chhupa rakha hai,
Are O chhupane wale yeh bhi chhupa ke rakhna ki
hamane tumhe apne dil mein chhupa rakha hai.

Zindagi ek Kiraye ka Ghar hai,
Ek -na-Ek Din to , Nikalna Padigaa
Maut Jab Hamko AaWaz Degi,
To, Hame Bahar Nikal Na Padigaa

Jab Kisi se gila rakhana,
samne apne aaina rakhana.
Youn ujalon se wasta rakhna,
Sama ke paas hi hawa magar rakhna.
Ghar ki tamir chahe jaisi ho,
Es main rone ki kuch jagah rakhan.
Masjiden hain n majiyoun ke liye,
Apne ghar main hi kahin Khuda rakhna.
Milna Julna janha jaruri ho,
Milne-Julne ka hausala rakhna.
Jab Kisi se gila rakhana,
samne apne aaina rakhana.

hathi nay kaha ja kar hathni ki kabar per
sadqey jaoon tumhari patli kamar per

Kyoun daren, jindagi main kya hoga..
Kuch n hoga to tajurba hoga.
Hansaati aknho main jankh kar dekho..
Koi aansu kahin n chupa hoga.
In dino naaummed sa hun main..
Sayad usne hi bhi ye suna hoga..
Dekh kar tumko sochta hun main..
Kya kisi ne tumhen bhi chuha hoga

Kyoun daren, jindagi main kya hoga..
Kuch n hoga to tajurba hoga.
Hansaati aknho main jankh kar dekho..
Koi aansu kahin n chupa hoga.
In dino naaummed sa hun main..
Sayad usne hi bhi ye suna hoga..
Dekh kar tumko sochta hun main..
Kya kisi ne tumhen bhi chuha hoga

Is jahan se us jahan tak
Har jagah nazar aate ho
Kabhi Shayar ke libas mei
to kahi kavi nazar aate ho

Dekh Lo Khuaab Magar Khuaab ka Charcha Na Karo
Log Jal jayein gey Sooraj ki Tamanna na karo
Waqt Ka kya hai kisi Pal Bhi Badal Sakta Hai
Ho sake tum se tu tum mujh pe bharosa na karo
Kirchiyan Tootay Hoye Aks ki Chubh Jayein gi
Aur kuch Roz Abhi Aiina Dekha na karo
Ajnabi lagney lagey khud tumhain Apna Wajood
Apne din Raat ko itna Bhi Akela na Karo
khuaab Bachhon ke khelonon ki tarah hote hain
khuaab Dekha na karo khuaab dikhaya na karo
Bey-khayalee main kabhi ungliyan Jal jayein gi
Raakh guzre hoye Lamhon ki kureedaa na Karo...

No comments: