Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi
Teri Hi Yaad Main Gum Rahi
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi
Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main
Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan
Gul mohar ki kataar jaisi ho,
Wadiyon main bahaar jaisi ho,
Paayalo.n ki chum chum chum si,
Chand meri yaar , kaisi ho
Raat bhar neend hi naa aaye to ,
Ashq aankhon main chhal chhalaaye to,
Kyaa hua hai bataaiye kaise,
Yaad koi bahot hi aaye to
Yaaron mar bhi gaya to,
Aarti meri dafnaa dena
Utha kar janaza mera,
Unki gali ghuma dena
Agar wo mera pata puche to
Shamshaan ghaat bata dena
Vo saaz nahi jisme sargam nahi,
vo jawani nahi jisme humdum nahi,
O sapno mein khushi ko dhoonde wale,
vo zindagi nahi jisme gam nahi
Raat chupchap hai
magar dil khamosh nahi
Kaise keh du dil ki baat,
aaj fir hosh nahi aisa,
Dooba teri aankho ki gehrai mein kuch aisa,
haath mein jaam hai magar pine ka hosh nahi.....
pyaar ki es najook rah mai humne bhi bahut dhokhe khaye hai,
khushiya sab de di yaaro ko hazar gam es dil mai samaye hai,
ab gam ki en kaali raton mai tanhaaiya hamare sath hai,
dil tor diya us bewafa ne mera maine pyaar mai ye tohfe paye hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment