Tuesday, August 22, 2006

ye pyar kya hota hai

yeh pyaar kya hota hai
pyaar ka saath kya hota hai
kyon hote hain achche dost
Is dil ka yeh haal kyon hota hai
chal pard te hain hum isi pyaar ki raha pe
koi humare saath nahi hota hai
raha pe chal ne se palhe tho hum soch te nahi
Is raha ka aanjam kya hota hai
kahin kho jaati hai yeh raha
ke humse yeh safar aab nahi hota hai
milta hai jo humsafar safar main aab
vo humsafar hi nahi hota hai
choot jaata hai haath uska root jaata hai
pyaar uska phir yeh pyaar kya hota hai
dard ka sirf ek pagam hota hai

No comments: