Bahut ro-ee hoi lagti hai aankhen,
Meri khatir jara kajal laga lo;
Bahut mayus mein baitha hoon mein tumse,
Kabhi aakar mujhe hairat mein dalo
Mere manjhi ke zakham bharne lage,
Aaj koi bhool ki jaaye;
Botalein khol ke to pee barsoon,
Aaj dil khol kar bhi pee jaaye;
Apne chehre se zulf hata deejiye,
Phir chaand ka samna kijiye;
Apki yeh hansi jaise ghungorron baaje,
Aur quamat hai kya, yeh bata deejiye;
Waqt to gujara magar kuch is tarah,
Hum chiragon ki tarah jalte rahein;
Kitne chahre the hamare aas-pass,
Tum hi tum dil mein magar baste rahe;
Uun ujaloh se wasta rakhna,
Shamma ke paas hi hawa rakhna;
Ghar ki tamir chahe jaise ho,
Isme rone ki kuch jagah rakhna;
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment