Dur ho jaane se rishte nahi toot te,
nahi sirf paas rehne se judte
Yeh to dilon kaa bandhan hai
is liye HUM tumhe or TUM hame nahi bhulte
Yun to maine tumko hi chaha tha
lekin Tumhari khushi mujhko manzoor hai
Ye jana tumhi se tumhari zubaani
Tumhara muqaddar koi aur hai
Hum Aaj Kahen Tumko Apna
Tum Bhi Kisi Roz Paraye The
Duniya Samjhi Hum Bichhad Gaye
Aise Bhi Zamaane Aaye The
Lekin Woh Juda Hone
wale Hum Nahin Hamare Saye The
Hum Tumse Mohabbat Karke Sanam,
Duniya Ka Fasana Bhool Gaye
Aankhon Se Teri Ek Jam Piya
Phir Hosh Mein Aana Bhool Gaye
Jab Dekh Li Teri Mast Nazar
Maikhane Ka Rasta Chhodh Diya
Zulfon Pe Teri Jab Aankh Padhi
Sawan Ka Zamana Bhool Gaye
Aye Husn Teri Ulfat Ne Hamein
Pahuncha Diya Aisi Manzil Pe
Kadmon Pe Tere Ek Sajda Kiya
Phir Sar Ko Uthaana Bhool Gaye
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment