Monday, August 21, 2006

ho sake to.........

Ho sakay too bhool ja is bay vafa ko
na yaad kar bar bar apni hi vafa ko
aksar galat hotay hain
yah piyar kay andaz choop chap sah ja
ab in ki saza ko jo samnay dakh kar
tumhain rahain badal latay hain
daad diya kar too in ki is ada ko
jis nay banya taray dil ko viraniyon ka ghar
wo bhee tarsay ga umar bhar is jaga ko!!!!
wo roay ga boohat tumhain yadd kar kay (.............)
pachtay ga wo sangdil apni hi jafa ko.

No comments: