Thursday, August 31, 2006

aankho ke khowab

Logoon nay apna hunar dekhaya bhee bohat hai
Ja ja kar main nay manaya bhee bohat hai
Sach pochoo too piyara bhee bohat lagta hai
dil koWo shks jis nay dil ko dukhaya bhee bohat hai

usey khena k pulkoun pe na tankey khowab ki jhaler
samander k kinarey ghar bana ker kuch nahi milta
koi aik aadh sapna ho to phir acha bhi lagta hai
hazar khowab aankhoun main saja ker kuch nahi milta

nazron se agar door hai to kia hua
dharkan ki tarha dil k meray paas bohat hai
wo raat ki tareeki main karta hai mujh se baat
us ko meri tanhaai ka ehsaas bohat hai

nazar kuch zuban kuch hont kuch keh jatye hein
ham unhein apna aur wo hamein ajnabi kah jatye hein
kabi to sonno mere seenay mein chuppi us awaz ko
ham jise aap, aur aap deerye se darkan kah jatye hein

PHOOLON KAY CHAHNAY WALAY KAANTON KAY HO GAEY
HUM BEY KHABAR RAHAY WOH KISI AUR KAY HO GAEY

Tham lay jo tu hath mera to sab sanwar jaye
Thukra day jo mujhay tu to sab bikhar jaye
Kehta hun tujhay ab kar lay tu bhe iqrar
Kahin ye pagal teray iqrar say pehlay na guzar jaye

No comments: