Saturday, August 19, 2006

kahne ko

Kehnay ko us say mera koi waasta nahin
magar woh shakhs mujhay bhoolta nahin
darta hoon aankh kholoon to manzar badal naa jayey
main jaag to raha hoon magar jaagta nahin
aashaftagi say uski usay beywafa naa jaan
aadat ki baat or hay dil ka bura nahin
tanha udaas chaand ko samjho
naa beykhabar har baat sun raha hay
magar bolta nahin khamosh ratjagoon ka dhuwaan tha
chahaar soo nikla kub aaftaab mujhay to pata nahin
woh aankhain jheel see gehri to hain
magar un main koi bhi aks meray naam ka nahin!!

No comments: