Monday, August 28, 2006

wahi tanhaai

zindagii tujh ko manaanay niklay
hum bhi kis darjaa deevaanay niklay
kuchh tou dushman thay mukhaalif saf main
kuch meray dost puraanay niklay
be-basaarat hai yeh bastii yaaro
aaiinaa kis ko dikhanay niklay
in andhairon main jiyo gay kab tak
koii tou shamma jalaanay niklay

phir wohee shaam wohee gham wohee tanhaye hai
dil ko samjahnay teri yaad chali aai hai
phir tasvour tere pehlu mein baith jaega
phir gaya waqat ghari bhar ko palt aaega
dil behl jaya ga akhir ko to sudaee hai
phir wohee shaam wohee gham wohee tanhaye hai
janay ab tujhe se mulaqat khabhi ho kay na ho
jo adhore rahe woh baat khabhi ho kay na ho
mere manzel tere manzel se bechar aye hai
phir wohee shaam wohee gham wohee tanhaye hai
__________________

No comments: