Monday, August 28, 2006

tamanna phir machal jaae

tamnna phir machal jaaye agar tum online mil jaao
yeh mousam hi badal jaaye agar tum online mil jaao.
mujhe gham hai ki maine zindagi me kuch nahin paaya.
yeh gham dil se nikal jaaye agar tum online mil jaao.
yeh duniya bhar ke jhagde ghar ke kisse kaam ki baaten
balaa har ek tall jaaye agar tum online mil jaao.
nahin milte ho mujhse tum to sabb humdard hai mere
jamaana mujhse jal jaaye agar tum milne aa jaao.

Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo
Raat kaali sahi koi gham na karo
Ik sitara bano jagmagati raho
Zindagii mein sada muskarati raho
Baant'ni hai agar baant lo har khushi
Gham na zahir karo tum kisi per kabhi
Dil ki gehraai mein ghum chupati raho
Zindagii mein sada muskarati raho
Ashk anmool hain kho na dena kahin
In ki har boond hai motiyoon se haseen
In ko har ankh se tum churati raho
Zindagii mein sada muskarati raho
Faaslay kam karo dil milati raho
Zindagii mein sada muskarati raho
__________________
__________________

No comments: