Saturday, August 19, 2006

kabhi palkon pe aansoo

kabhi palkon pe aanson hain kabhi lab pe shikayeat hai
magar a zindagi mujhay tujh se mahubat hai
jo aata hai woh jaata hai yeh duniya aani jaani yahan har sheh musafir hai
safar main zindagaani hai ujaalo ki zaroorat hai andhera meri kismat hai
kabhi palkon pe aanson hain kabhi lab pe shikayeat hai
magar a zindagi mujhay tujh se mahubat hai
zara aye zindagi dam le tera deedar to ker lon
kabhi dekha nai jis ko usse main pyar to ker lon
abhi se chhor k mat ja abhi teri zaroorat hai kabhi palkon pe aanson hain
kabhi lab pe shikayeat hai magar a zindagi mujhay tujh se mahubat hai
koi anjaan sa chehra utarta hai fizaon main yeh kis ki ahatten jaagi meri khamosh rahon main abhi aye maut maut mat aana mera wirana jungal hai kabhi palkon pe aanson hain
kabhi lab pe shikayeat hai magar a zindagi mujhay tujh se mahubat hai

No comments: