Wednesday, August 30, 2006

kal dekha

Ek thake hue khayaal mein dooba hua tha main
Ek haseen se sawaal se rootha hua tha main
Woh ajeeb si muskaan jo bikhri thi tere labon par
Apna sa ek nishaan usmein khojta tha main
Woh 'chup' kehkar daant dena tera meri us baat par
Waisee hi ek aur baat fir se chhedta tha main
Jo keh diya tune woh to dil mein hi utar gaya
Jo nahiN suna woh kalaam hi to dhoondh-ta tha main

Kal dekha sagar ko yun umadte toh yeh poochha maine
Gar pyas hai tujhmein bhi itnee, kyun kehlaooN pyasa fir main?
Jhat se jo chhupa liya woh bheega rumaal toh yeh socha maine
Gar dard hai tujhmein bhi itnaa, kyun tadpooN akela fir main?

No comments: