Thursday, August 31, 2006

aankho ke khowab

Logoon nay apna hunar dekhaya bhee bohat hai
Ja ja kar main nay manaya bhee bohat hai
Sach pochoo too piyara bhee bohat lagta hai
dil koWo shks jis nay dil ko dukhaya bhee bohat hai

usey khena k pulkoun pe na tankey khowab ki jhaler
samander k kinarey ghar bana ker kuch nahi milta
koi aik aadh sapna ho to phir acha bhi lagta hai
hazar khowab aankhoun main saja ker kuch nahi milta

nazron se agar door hai to kia hua
dharkan ki tarha dil k meray paas bohat hai
wo raat ki tareeki main karta hai mujh se baat
us ko meri tanhaai ka ehsaas bohat hai

nazar kuch zuban kuch hont kuch keh jatye hein
ham unhein apna aur wo hamein ajnabi kah jatye hein
kabi to sonno mere seenay mein chuppi us awaz ko
ham jise aap, aur aap deerye se darkan kah jatye hein

PHOOLON KAY CHAHNAY WALAY KAANTON KAY HO GAEY
HUM BEY KHABAR RAHAY WOH KISI AUR KAY HO GAEY

Tham lay jo tu hath mera to sab sanwar jaye
Thukra day jo mujhay tu to sab bikhar jaye
Kehta hun tujhay ab kar lay tu bhe iqrar
Kahin ye pagal teray iqrar say pehlay na guzar jaye

Wednesday, August 30, 2006

masti bhari nigaah

Waqt mera nahi tera ghulam ha
Meri mohabbat to aj bhi tere naam hai
Tu mudkar dekhe ya na dekhe
Meri wafa ka tu hi ek makaam hai
Tu diya jalaye ya rakhe andhera
Meri taraf to shaam hi shaam hai

mastee bharee ghataaon kee parachhaeeyon tale
haathon mein haath thaam ke jab saath hum chale
shaakhon se fool toot ke raahon mein aa gaye
hum jab simat ke aap kee baahon mein aa gaye

kal dekha

Ek thake hue khayaal mein dooba hua tha main
Ek haseen se sawaal se rootha hua tha main
Woh ajeeb si muskaan jo bikhri thi tere labon par
Apna sa ek nishaan usmein khojta tha main
Woh 'chup' kehkar daant dena tera meri us baat par
Waisee hi ek aur baat fir se chhedta tha main
Jo keh diya tune woh to dil mein hi utar gaya
Jo nahiN suna woh kalaam hi to dhoondh-ta tha main

Kal dekha sagar ko yun umadte toh yeh poochha maine
Gar pyas hai tujhmein bhi itnee, kyun kehlaooN pyasa fir main?
Jhat se jo chhupa liya woh bheega rumaal toh yeh socha maine
Gar dard hai tujhmein bhi itnaa, kyun tadpooN akela fir main?

duniya ki nazar

Dur ho jaane se rishte nahi toot te,
nahi sirf paas rehne se judte
Yeh to dilon kaa bandhan hai
is liye HUM tumhe or TUM hame nahi bhulte

Yun to maine tumko hi chaha tha
lekin Tumhari khushi mujhko manzoor hai
Ye jana tumhi se tumhari zubaani
Tumhara muqaddar koi aur hai

Hum Aaj Kahen Tumko Apna
Tum Bhi Kisi Roz Paraye The
Duniya Samjhi Hum Bichhad Gaye
Aise Bhi Zamaane Aaye The
Lekin Woh Juda Hone
wale Hum Nahin Hamare Saye The

Hum Tumse Mohabbat Karke Sanam,
Duniya Ka Fasana Bhool Gaye
Aankhon Se Teri Ek Jam Piya
Phir Hosh Mein Aana Bhool Gaye
Jab Dekh Li Teri Mast Nazar
Maikhane Ka Rasta Chhodh Diya
Zulfon Pe Teri Jab Aankh Padhi
Sawan Ka Zamana Bhool Gaye
Aye Husn Teri Ulfat Ne Hamein
Pahuncha Diya Aisi Manzil Pe
Kadmon Pe Tere Ek Sajda Kiya
Phir Sar Ko Uthaana Bhool Gaye

bahot roi

Bahut ro-ee hoi lagti hai aankhen,
Meri khatir jara kajal laga lo;
Bahut mayus mein baitha hoon mein tumse,
Kabhi aakar mujhe hairat mein dalo

Mere manjhi ke zakham bharne lage,
Aaj koi bhool ki jaaye;
Botalein khol ke to pee barsoon,
Aaj dil khol kar bhi pee jaaye;

Apne chehre se zulf hata deejiye,
Phir chaand ka samna kijiye;
Apki yeh hansi jaise ghungorron baaje,
Aur quamat hai kya, yeh bata deejiye;

Waqt to gujara magar kuch is tarah,
Hum chiragon ki tarah jalte rahein;
Kitne chahre the hamare aas-pass,
Tum hi tum dil mein magar baste rahe;

Uun ujaloh se wasta rakhna,
Shamma ke paas hi hawa rakhna;
Ghar ki tamir chahe jaise ho,
Isme rone ki kuch jagah rakhna;

intzaar

Chand se pyar karna ho to Chandni se sikho...
Phoolo se Pyar karna hai to Baharon se sikho...
Agar kisi ka intezar karna hai to HUM se sikho...
Kahin Aapke intezar mein yeh umar na beet jaeyyy....

Tum ho sabki Aankhon ka noor,
ho apni adaon ke liye mashoor,
tum ho is zamane mein sabse alag,
sabse juda, kyunki tum insaan ke roop mein ho langoor

Tuesday, August 29, 2006

meri jaan

Phoolon say achi uski khushboo
Kaliyon say pyari muskaan
sitaaron sa chamakta hua chehra
koyal sii meethi zabaan
chaand bhi chhup jaye yeh keh kay
Aasmaan pay ab kya mera kaam
chaandni to aa nikli zameen say
Kaisi hai yeh qudrat ki shaan
Fursat say banaya hoga rub nay
Farishton ka nahi yeh kaam
Mitti say banay hain hum sab
Us main sona ko milaya hoga
Hooron nay bhi hasrat say dekha hoga
Pariyon say sunder yeh insaan
Alfaaz bhi kum partay hain
kahne ko Aisi hai meri jaaaaaaaaaaaaaaaaaaan

tum raaz agar hote

Tum Raaz agar hotey, Mein Dil mein chhupa leti
Muskaati hui Aankhein, aelaan na bun jaaein
Jab naam tera aata, Palkon ko jhuka leti
Tum meri taraf chal kar, jiss raah se bhi aatey
Hur simt meri Aankehin, qadmaon ke taley paatey
Aik meethi hansi , hans kar , sow phool khilaa jaatey
Yeh Phool Utha leti, Rangon mein naha leti
Tum Raaz agar hotey, Mein Dil mein chhupa leti
Tum meri umeedon ki kashti ke liyey Saahil
manzil ke liyey Rusta, Aankhon ke liyey Kajal
Tum Dhoop mein jab aatey, bun jaati waheen Badal
Aawaaz agar hotey, Geeton mein saja leti
Tum Raaz agar hotey, Mein Dil mein chhupa leti

raaz

dil main jo pyaar hota to kehte
appke khayalon ki shiddat ko sehte
aankhon ko aanso main napo nahin tum
aankhon main paani hota to behte

Haale dil sunane ko koi nahin
ek tha dost woh hi nahin
suna hai raat baarish hui hai
woh roti rahi hai sooi nahin
woh jo muhabbat ke tarse hue hain
aur bhi hain hum do hi nahin
anna pasand aise bhi hote hain
aanso to nikle par roi nahin
aise khabon ka kia faida
jo hum sochen woh ho hi nahin
darte hain izhar se is liye hum
chahen tum chaho hi nahin.

dil ki baat

Huzoor Is Kadar Bhi Na Itraake Chaliye
Khule Aam Aanchal Na Lehra Ke Chaliye
Koi Manchala Gar Pakadlega Aanchal
Zara Sochiye Aap Kya Kijiyega Saja
de Agar Badhke Zulfon Mein Kaliyaan
To Kya Apni Zulfein Jhatak Dijiyega
Huzoor Is ...Bahut Khubsoorat Hai Har Baat Lekin
Agar Dil Bhi Hota To Kya Baat Hoti
Likhi Jaati Phir Dastaan-E-Mohabbat
Ik Afsaane Jaisi Mulaaqat HotiHuzoor Is ...
Bahut Dilnasheen Hain Hansi Ki Ye Ladiyaan
Ye Moti Magar Yoon Na Bikhraaya Keeje
Udaakar Na Le Jaaye Jhaunka Hava Ka
Lachakta Badan Yoon Na Lehraya KeejeHuzoor Is

sapna

Dekho Maine Dekha Hai Yeh Ek Sapna
Phoolon Ke Shehar Mein Hai Ghar Apna
Kya Sama Hai, Tu Kahan Hai
Maein Aayi Aayi Aayi Aayi,
AajaKitna Haseen Hai Yeh Ek Sapna
Phoolon Ke Shehar Mein Hai Ghar Apna
Kya Sama Hai, Tu Kahan Hai
Maein Aaya Aaya Aaya Aaya, Aaja
Wahan Tera Mera Naam Likha Hai,
Rasta Nahin Yeh Aam Likha Hai
Yeh Hai Darwaaza Jahan Tu Khadi Hai
Andar Aajao Sardi Badi Hai
Yahan Se Nazaara Dekho Parvaton Ka
Jhanku Maein Kahanse, Kahan Hai Jharokha,
Yeh Yahan Hai, Tu Kahan Hai...
Achha Yeh Batao Kahan Pe Hai Paani
Bahar Beh Raha Hai Jharna Deewani
Bijli Nahin Hai Yahi Ek Gham Hai,
Teri Bindiya Kya Bijli Se Kam Hai
Chodho Mat Chhedo Baazar Jaao,
Jaata Hoon Jaoonga, Pehle Yahan
Aao Shaam Jawaan Hai, Tu Kahan Hai...
Kaisi Pyaari Hai Yeh Chhotisi Rasoi,
Hum Dono Hain Bas Dooja Nahin Koi
Is Kamre Mein Hongi Meethi Baaten,
Us Kamre Mein Guzrengi Raaten
Yeh To Bolo Hogi Kahan Pe Ladaai,
Maine Woh Jagah Hi Nahin Banai

dil ke arma

Dil Ke Armaan Aansuon Mein Beh Gaye
Hum Wafa Karke Bhi Tanha Reh Gaye
Zindagi Ek Pyaas Bankar Reh Gayi
Pyar Ke Kisse Adhoore Reh Gaye
Shayad Unka Aakhri Ho Yeh Sitam
Har Sitam Yeh Sochkar Hum Seh Gaye
Khudko Bhi Humne Mita Daala Magar
Faasle Jo Darmiyaan The Reh Gaye

mujhe kuch kahna hai

pehle main chup chup rehty thy
tumse kuch nahi kehty thi.......
ab khamosh nahi rehna hai.....
mujhe tum se kuch kehna hai
tum jab se basay ho ankhon main
singhar nahi koi ankhon main.....
ab to hi mera gajra, gehna hai..
mujhe tum se kuch kehna hai
main tumko her sukh dedongy
badlay main sab dukh lelongy
dunya ka har gam sehna hai
mujhe tum se kuch kehna hai
kia tumse kahon main mailay main
kabhi mujhse milo akailay main
teray dil hamesha rehna hai...
.mujhe tum se kuch kehna hai..!

dusmani

Aajkal doston se dushmani
Aur dunshmano se dosti karne ko dil chahta hai,
Kyunki ab dosti ka nata chota
Aur dushmani ka nata jyada pakka nazar aata hai

Itane phool khile aangan me,
ki ghar ko sajana bhul gaye hum,
vo aaye jo mahefil me hamari,
to samma jalana bhul gaye hum..
ye kahenge vo kahenge,
soch rahe the barso se,
jo aaye vo samane to,
sara fasana bhul gaye hum...!!

teri tasveer

Bichde hue saathi ro-ro kar na saza de,
Dua karna Khuda se phir se mila de...
Bojh judai ka uthaya nahi jaata,
Dushwar hoga jeena markar kaise bhula de....

Teri Tasweer meri Ankhon main Basee kyun hai
Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai
Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai
lekin Tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai
Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil karna
phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai
Barson guzar gaye meray tanhayee main
lekin Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai
Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon
Ab nahin hai kuch bakee phir yeh jaan bakee kyun hai..

darde dil

Unko pyar karne ka hisab na aayega,
Meri kisi bhi baat ka jawab na aayega...
Hum to jagte rahenge unke hi khayaalon me,
Aur unko so kar bhi hamara khawab na aayega...

Jisko humne samjha apna
uske daaman me daag tha,
Hum mar rahe the ro-ro kar... Par us bewafa ke mann me Uska hi khayal tha....

Dard mein koi Mausam pyara nahi hota,
Dil ho Pyasa to Panise gujara nahi hota,
Dekhe zara koi Bebasi humari,
Hum uske ho jate hain jo humara nahi hota


yuhi kabhi sapno ko dilse lagaya karo,
kisi ke khwabon mein aaya jaya karo;
jab bhi ji ho ki koi tumhe bhi manaye,
bas hume yaad karke rooth jaaya karo

Dil jale ka dil kaun todta hai,
Kisi murde ko zinda kaun karta hai...
Hai dil me agar pyar kisi ka,
To woh dil le kaun sakta hai....

Palkon ki is luka-chhipi ko
dil kehta hai main pyaar maan loon...
Na keh ke woh hans deti hai,
Kaise main inkaar maan loon....

meri khata

Meri khata ko tune wajah di
Bina baat ke bhi mujhko tune saza di
Shola tha dil main mere gum ka
Usper tune aur aag laga di
Samjh ke bhi tune etna na samjha
Mere pyaar ne bas tujh ko sada di
Dil ke tukde tukde kerke Zid se
tune her khwahish mita di
Main ne manga tha saath bas tera
Gayero ke pass jaker meri tune qimat hi gira di
Aansoo mere dil ke gum ke Mange
tujh ko aur tune mujh ko bas daga di
Samjhaye bhi tu kaise tujh ko
Tune tu her baat has ke uda di
Dil main hi reh gaye din wo pyaar ke
Her baat tere mere dil ki tune aye sangdil bhula di
Meri khta ko tune waja di
Bina baat ke bhi mujhko tune saza di
Kitna sitam tu laakh aur kerle dil ne mere bas tujhko duwa di

Monday, August 28, 2006

yeh aankhen

YEH AANKHEIN BUHAT SATATI HAIN,
Yaadon ke khuwaab dikhati hain
Mujhe saari raat jagati hain
Kab Dil ke raaz chhupati hain
Palkon ke dareeche kholti hain
Kuch apni zaban main bolti hain
Bas apni baat manwati hain
YEH AANKHEN BUHAT SATATI HAIN,
Ek aan mein faisla karti hain
Yeh kab ruswayi se darrti hain
Yeh ghungroo baandh nachati hain
Her waqt yeh jaagti rehti hain
Ek khoj mein bhaagti rehti hain
Thak haar ke wapis aati hain
YEH AANKHEN BUHAT SATATI HAIN,
Chupke se kahin larr jaati hain
Phir khuwabon se bhar jaati hain
Jab toote shor machati hain
Yeh royen to Dil bhi rota hai
Kab in se judda yeh hota hai
Yeh Dil ko rog lagati hain
Kyun pyaar kiya pachtati hain
YEH AANKHEN BUHAT SATATI HAIN_________________

tamanna phir machal jaae

tamnna phir machal jaaye agar tum online mil jaao
yeh mousam hi badal jaaye agar tum online mil jaao.
mujhe gham hai ki maine zindagi me kuch nahin paaya.
yeh gham dil se nikal jaaye agar tum online mil jaao.
yeh duniya bhar ke jhagde ghar ke kisse kaam ki baaten
balaa har ek tall jaaye agar tum online mil jaao.
nahin milte ho mujhse tum to sabb humdard hai mere
jamaana mujhse jal jaaye agar tum milne aa jaao.

Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo
Raat kaali sahi koi gham na karo
Ik sitara bano jagmagati raho
Zindagii mein sada muskarati raho
Baant'ni hai agar baant lo har khushi
Gham na zahir karo tum kisi per kabhi
Dil ki gehraai mein ghum chupati raho
Zindagii mein sada muskarati raho
Ashk anmool hain kho na dena kahin
In ki har boond hai motiyoon se haseen
In ko har ankh se tum churati raho
Zindagii mein sada muskarati raho
Faaslay kam karo dil milati raho
Zindagii mein sada muskarati raho
__________________
__________________

wahi tanhaai

zindagii tujh ko manaanay niklay
hum bhi kis darjaa deevaanay niklay
kuchh tou dushman thay mukhaalif saf main
kuch meray dost puraanay niklay
be-basaarat hai yeh bastii yaaro
aaiinaa kis ko dikhanay niklay
in andhairon main jiyo gay kab tak
koii tou shamma jalaanay niklay

phir wohee shaam wohee gham wohee tanhaye hai
dil ko samjahnay teri yaad chali aai hai
phir tasvour tere pehlu mein baith jaega
phir gaya waqat ghari bhar ko palt aaega
dil behl jaya ga akhir ko to sudaee hai
phir wohee shaam wohee gham wohee tanhaye hai
janay ab tujhe se mulaqat khabhi ho kay na ho
jo adhore rahe woh baat khabhi ho kay na ho
mere manzel tere manzel se bechar aye hai
phir wohee shaam wohee gham wohee tanhaye hai
__________________

yeh dil

Yeh Dil tum se Pyaar karna chahta hai
Apni Mohabbat ka iqraar karna chahta hai
Jab se dekha hai tum ko aey Sanam
Bas tumhara hi dedaar karna chahta hai
Logon se sunte the Mohabbat ke afsaane
Khuwaab humne bhi dekhhe the suhaane
Pyaar kya hai ? hum aksar sochte the
Is baat se hum apne Dil ko rokte the
Lekin ab tumhain is Dil main basakar
Yeh khata ek baar karna chahta hai
Yeh Dil tum se Pyaar karna chahta hai
Apni Mohabbat ka izhaar karna chahta hai

dhoondhli si koi yaad

Shaam ka Andhera Kuch Ab Talak Baaqi hai…
Yaad Mit Gayi Teri Par Ehsaas Abhi Baaqi Hai…
Yoon To Muddato Se Hum Bhool Gaye HainTujhe…
Phir Bhi Dhundli Si Koi Yaad Abhi Baaqi Hai…
Zara socho phir se ek nazar dekh kar tum…
Kahin kisi shaam ki koi faryaad abhi baaqi hai…
Yoon to hans ke jhela har sitam zalim ka magar…
Judayi ke aansuon ka dard sehna abhi baaqi hai…
Woh to madhoshi mein the ehsaas na kar sake kuch bhi…
Hame hosh mein madhosh hona abhi baaqi hai…
Kaise kahe kya zulm hue hain us pe...
Yeh to aaghaaz tha... kuch anjaam abhi baaqi hai…

Sunday, August 27, 2006

yaad aay

AAJ PHIR KUCH KHO KAY KUCH PAYA HAY
UDAAS NA HO E DIL ABHI PAIRO TALEY CHAYA HAY
AASMA SAY POOCH US KAY GUM KA HAAL
US NAY HAR SITAREY MAY GUM CHUPAYA HAI

YAAD AAYE JAB KISSI KI TAB AASHQO KO BULA LENA
KHUSHIYA NA DAY JAB SAATHTAB GUM KO BULA LENA
PHIR BHI NA MANEEY AGER YAH DIL
AAINEY MAY KHUD KO DEKH KAY MUSKURA LENA

likh diya

Barsoon Kay Intizaar Ka Anjaam Likh Dia
Kaaghaz Pay Shaam Kaat Kay Phir Shaam Likh Dia
Bikhri Pari Thi Toot Kay Kaliyaan Zameen Per
Tarteeb Day Kay Mein Nai Tera Naam Likh Dia
Aasan Nahi Thi Tark-E-Mohabbat Ki Dastaan
Jo Aansoon Nay Aakhri Paighaam Likh Dia
Allah! Zindagi Say Kahan Tak Nibhaoon Mein
Kiss Bewafa Kay Saath Mera Naam Likh Dia
Taqseem Ho Rahi Thi Khudai Ki Naimatein
Ik Ishq Bach Gaya So Mere Naam Likh Dia
Kisi Ki Dain Hai Yeh Shairi Meri
Iski Ghazal Pay Jiss May Mera Naam Likh Dia

ho sake 1

Ho sakay too bhool ja is bay vafa ko
na yaad kar bar bar apni hi vafa ko
aksar galat hotay hain yah piyar kay andaz
choop chap sah ja ab in ki saza ko
jo samnay dakh kar tumhain
rahain badal latay hain
daad diya kar too in ki is ada ko
jis nay banya taray dil ko viraniyon ka ghar
wo bhee tarsay ga umar bhar is jaga ko!!!!
wo roay ga boohat tumhain yadd kar kay
pachtay ga wo sangdil apni hi jafa ko.

kya mujhe apnaoge

Hum thode nadan hai,
thode se hai natkhat,
kya muje apnaoge....?
chupkese rote rahete hai,
sabke samne to haste hai,
kya muje apnaoge....?
chillaye to ruth jayenge,
pyaar se hum maan jayenge,
kya muje apnaoge....?
hum to sada aisse rahenge,
hame naa tum badal paoge,
kya muje apnaoge....?
aapko humne apna hi samja,
dusra na koi dil mai basa,
kya muje apnaoge....?
gam aapko humse batna hoga,
sari khushi humse leni hogi,
kya muje apnaoge....?
aapse pahale hame hai jana,
wada aapko to karna padega,
kya muje apnaoge....?
aapko kabhi bhul naa payenge,
ye galti hum roj dauhrayenge,
kya muje apnaoge....?

Thursday, August 24, 2006

tanha

Tanha rehekar Humney jeeya Zindagi ko,
bhaut Badnam humney kiya Zindagi ko,
Zindagi ka nam unho ne Zehar Samjhaya
Amrit samjh kar Humney peeya Zindagi ko

in aansuon main

In ansuon me nahi kashish, har sitam dha kar dekhte hain shakl,
Ae saze dil, kuchh aise machal, har aah bhi ban jaye ghazal.
Hote rahe hum ruswa, har mod par hai charcha mera,
Hum vafa kar ke bhi badnaam, unke sir zafa ka sehra,
Hain aaj zakhmi, dil pashemaa.n, ye waqt kabhi to jaye badal,
Ae saze dil, kuchh aise machal, har aah bhi ban jaye ghazal.

Ladka jaa raha tha, apni raah,Ek ladki dikhi,
bhari usne aah,Ab har din karta,
usi sadak pe intezaar hai,
Jab dikhe to muskaraye, kya yahi pyar hai

Tumse milkar tabiyet apni, ab ghabrati hai,
Aaj fir meri baton me, meri dhadkan ladkhadati hai.
Adhuri si zindagi se, do pal tum chura lo,
Mere khayalon ko aaj, dulhan tum bana lo,
Aaj dil ki zameen par, khamoshi si lahrati hai,
Aaj fir meri baton me, meri dhadkan ladkhadati hai.

kami hai kisi ki

Jab woh hans hans kar baat karay dosroon se,
Tab apnay ansoon ko chupana acha lagta hai,
Usay kho kar to Meray pass raha kuch bhi nahin,
Phir bhi khud ko ameer batana acha lagta hai.

kabhi kabhi mere dil me ek khayal aata hai, In ladko ko banaya gaya hai humse pitne ke liye. Sir ke baalon ka jo itna khayal ye rakhte hain, Fasal ye ugaai gayi hai jharhne ke liye. Jawani tak jo naak utha ke ye chalte hain, Banai gayi hai biwi ke qadmo me ghisne ke liye. Allah Allah ye inke mazboot haath Banaye gaye hain jhaadu bartan ke liye. Ab to bas yahi khayaal aata hai, Banaya gaya hai inhe biwi ki chakri ke liye.

Kami hai kisi ki mehfil mein, kehti hain tanhaiyan,
Karte hai hum jiska intezaar, le le kar angadaiyan,
Mehfil ko jamaane ka maza, jiske bina nahin aa sakta,
Betaab hain hum jiske liye, jiske bina dil nahin lagta,
Shaam sawere har pal jiski dikhti hain parchaiyan,
Ab kabhi usse mulakaat ho, Usse kehna is baat ko,
Ho kyun humse door door, kyun humse naraaz ho,
Kaisi khata humse hui, kaisi hain ruswaaiyan

tum hi btao

Mohabbat hi na jo samjhe, vo Zaalim pyar kya jane
Nikalti dil ke taaron se, jo hai jhankaar kya jane

Humne Kajal Se Jo Aankhon Ko Saaja Rakha Hai,
Ek Khat Hai Ke Tere Naam Likh Rakha Ha,
Aap Jab Chaahe Rula Dijiye Aankhen Meri,
Main Ne Uss Aag Ko Phoolon Mein Saja Rakha Hai,
Jo Dahakta Hai Har Ek Sine Me Dharkan Ban Kar,
Naam Uss Pyar Ka Logon Ne Khuda Rakha Hai,
Unki Aankhon Ki Nawaazish Hai Mere Sher Saba,
Hum Ne Andaaz-E-Ghazal Sab Se Juda Rakha Hai......

MUJHE BATAYA HOTA BAS ITNA,
MERE PYAR MEIN KYA THHI
KAMI, DEKHO AAJ MERI ANKHON MEIN,
CHHAI KITNI HAI NAMI...,
MUJHE CHODA RAHON MEIN TANHA,
PYAR KARNE KI KYUN DIL YE PAYE SAZA,
TUM HI BATAO MERE PYAR MEIN,
KIS BAAT KI THHI AKHIR KAMI,
JO DI ITNI BADI SAZA TUMNE,
GUZARNE KI TANHA ZINDAGI,
DIL TUMNE BASAYA APNA,
TODA HAI MERA HAR SAPNA,
MERI KHWAHISHON KO RAUNDA HAI,
SHAYAD PYAR TUMHARE LIYE SAUDA HAI,
MERA EK-EK ANSOO MUJHSE,
POOCHTA BAS ITNA HAI .....,
JISKA DIL PATTHAR HAI,
PYAR MAINE USSE KYON KIYA???,
BAHOT SAMJHATI HUN KHUD KO,
BEHLATI BHI HUN DIL KO,
PAR YE KUCH NAHIN MAANTA HAI,
YE SIRF TUMHE HI MANGTA HAI,
KAISE SAMJHAUN MAIN ISKO,
KI TUMKO PANA EK SAPNA HAI,
SAPNA HOKAR BHI TU APNA HAI,
MERE DIL KI GEHRAIYON KI,
MERE MAN KI SACHAIYON KI,
KADRA KABHI NA TUMNE KI,
TUMSE PYAR KARNE KI BHOOL NE,
ZINDAGI MERI TABAAH KAR DI..."

aaj kal ke ladko ka gana

ladki ne kaha: jane jigar janeman,
mujhko hai teri kasam, tu jo mujhe na mila,
mar jaaongi main sanam.
ladke ne kaha: jane jigar janeman, 80 kilo hai tera wajan,
tu jo mujh par giri, mar jaonga main sanam

HELLO DARLING, HELLO HUM TUMPE MARELA HAI, PEECHE MUD KE DEKH TERA DEEWANA KHADELA HAI, JI KARTA HAI TUMKO COFFEE PILANE KO, COFFEE BHI READY, SUGAR BHI READY , DOODH FATELA HAI....FATELA, HELLO DARLING HELLO HUM TUMPE MARELA HAI. JI KARTA HAI TUM KO SAIR KARANE KO, GADI BHI READY, DRIVER BHI READY, TYRE FATELA HAI...FATELA, HELLO DARLING HELLO HUM TUMPE MARELA HAI. JI KARTA HAI TUMKO KISS KARNE KO, TUM BHI READY HUM BHI READY, PUBLIC KHADELA HAI .....KHADELA, HELLO DARLING HELLO HUM TUM PE MARELA HAI. JI KARTA HAI TUMHARE SANG SHAADI MANANE KO, PANDIT BHI READY, HUM BHI READY, BAAP ADELA HAI.....ADELA, HELLO DARLING HELLO HUM TUM PE MARELA HAI, PEECHE MUD KE DEKH TERA DEEWANA KHADELA HAI

pyar

Aapko aapka pyar mil jaaye aur kabhi koi majburi aade na aaye.
Vaise to har rishte me pyar hota hai, infact pyar to har rishte ki dor hoti hai.
Aur ye pyar panapta hai vishwas se, agar rishte me vishwas ki buniyad mazboot ho to vo rishta hamesha hamesha kaayam rehta hai. Bina vishwas ke koi bhi rishta jyada din tak nahi tikta. Jahan vishwas hota hai vahan pyar hota hai aur jahan pyar hota hai vahan khushiyan hoti hai. So friends rishta jodo to use nibhana bhi seekho. Todna aasan hai lekin jodna mushkil hai. Har rishte ki dor ko pyar aur vishwas ke saath baandh kar rakhna chahiye tabhi uski value hoti hai, varna vo rishta sirf naam ka hota hai, bilkul khokhla.

zindgi ka har rang

Zindgi Ka Her Rang Naya Din Lata Hai,
Insaan Ka Her Dhang Ek Khitaab Banata Hai,
Zindgi To Holi Hai Zamane Ki Anjaan Ki Duniya Main
To Her Rang Kuch Na Kuch Dikhaye Jata hai....

Hazaaron Aise Phaasle The,
Jo Tai Karne Chale The,
Raahe Magar Chal Padi Thi,
Aur Peeche Hum Reh Gaye The,
Kadam Do Chaar Chal Paaye,
Kiye Phere Tere Mann Ke....
Maine Dil Se Kaha,
Dhoond Laana Khushi
Nasamajh Laya Gum,
To Yeh Gum Hi Sahi.......

Kabhi hai ishq ka ujaala,
Kabhi hai maut ka Andhera,
Bataao kaun Bada Hoga,
Main jogi banu ya lutera,
Kayi chehre hai is dil ke
Najaane kaunsa mera....

SACH MERE YAAR HAI,
BAS YAHI PYAR HAI,
JISKE BADLE ME KOI JO PYAR DE
BAKI BEKAR HAI YAAR MERE,
KHILE RAHE SAPNE TERE,
MAHEKA RAHE DILKA CHAMAN,
ZINDGI TUJKO AISHI BAHAR DE,
DILKI PUKAR HAI YAAR MERE,,,,,
SUNTE THE HAM
YE ZINDGI GAM OUR KHISHI KA MEL HAI,
HAMKO MAGAR AYA NAZAR
YE ZINDGI VO KHAIL HE,
KOI SAB JITE,KOI TO HAR DE,
APNI TO HAR HAI YAAR MERE.
PAR EK YADE HI TO HAI
JO INSAN KE MITNE SE BHI NAHI MIT TI.

kabhi fursat mile to

Tumheen jab kabhee mileen furstein,
merey dil see bojh utar doo
Mein bohat dinon se udas hoon,
mujhey aik sham udhar doo
Mujhey apney roop kee dhoop doo
keh chamak sakeen merey khad-o-khal
Mujhey apney rang mein rang doo,
merey sarey zang utar doo Kisi aur ko
merey hal sey na gharz hey na koi wasta
mein bikhar gaya hoon samait loo,
mein bigar gaya hoon sanwar doo
Mereey wehshatoon ko barha diya hey
judiyoon keh azab ney merey dil per hath rakhoo
zara merey dharkanoon ko karar doo
Tumheen subah kaseey lagi kahoo,
merey khawhishoon key diyar
kee jo bhaley lagi too yaheen rahoo,
isey chahatoon sey nikhar doo
Wahan gharr mein kon hey
muntazir keh fikar ho deer sawair kee
baree mukhtasir see yeah raat hey
isey chandani mein guzar doo
Koi baat kerni hey chand sey
kisi shaksar kee ouut lee ker
mujhey rastey mein yaheen kaheen
kisi kunj gal mein utar doo
Tumheen jab kabhee mileen furstein,
merey dil see bojh utar doo
Mein bohat dinon se udas hoon,
mujhey aik sham udhar doo

Wednesday, August 23, 2006

aa bhi jaao

Machar kate aapko
to mat hona hariaan
anjane mein hi sahikar rehe ho aap
Rakt-daan!!


Aaah Bhii Jaao K Zindagii Kam Hai
Tum Nahin Ho To Har Khushii Kam Hai
Vaadaa Kar K Yeh Kyun Aaiye Nahi
Shahar Mein Aaj Roshanii Kam Hai
Jaane Kyaa Ho Gayaa Hai Mausam Ko
Dhoop Ziyaadaa Hai Chandni Kam Hai
Aaieena Dekh Kar Khayaal Aayaa
Aaj Kal Un Kii Dostii Kam Hai
Tere Dam Se Hi Main Mukammal Hun
Sanam Bin Tere Tera Yeh 'Munda Kam Hai

mohabbat kar lo

Kashti behti hai kinare ki talaash mei,
Log milte hai pyar ki aas mei,
Hum roz milte nahi aapse magar.....
Waqt bitate hai aapki yaad mein!! :)

Jo hadse na guzar jaye wo pyar hi kya,
Jo pyar karne pe majboor na karde
wo ikraar hi kya,Intezar to sab karte hai.....
Saanse tootne tak jo saath na de wo yaar hi kya!

Kajal banke teri aankho mein samane ki tamanna hai,
Dawa banke tere dard mitane ki tamanna hai,
Yun to haasil hai zamane ki har cheez mujhe,
Sirf ek baar tujhe dulhan ke roop mein paane ki tamanna hai

Yun toh bahut tha baatane ko,
zamaane se chup ke chaha tha apne chahne wale ko,
kya khabar thi yun tanha chod deega woh,
acha hua ki mere dukh ki khabar bhi na mil paaye zamaane ko. .......

Khali shishe bhi nishaan rakhte hain...
Tute hue dil bhi armaan rakhte hai...
Joh khaamoshi se guzar jaye,
woh dariya bhi dil me toofan rakhte hain

KOI hai jo dua karta hai, Apno me mujhe bhi gina karta he,
bahut khushnasib samjhte he khud ko hum,
door rah ke bhi koai yaad kia karta hai. Woh Hai Hum!!

Kafi hai husn dil ko behlane ke liye,
Mohabbat karlo dil ko dukhane ke liye.
Chahe pade gam se vasta,
Ek dost rakna sab gamoko bhulane ke liye....

Hum dosti me had e guzar jayenge,
Yeh zindgi apke naam kar jayenge,
Aap roya karenge hume yaad karke,
Apke daaman me itna pyar chhod jayenge..

Baat Baat Pe Rooth JAana Acha Nahi Hota...
Is Tarah Bevajah Sataana Achha Nahi Hota...
Hum Diwaane Teri Adaao Se To Waaqif He..
Bhari Mahefil se Chale Jana Achha Nahi Hota....

Kap Kapate Huye Hotho se Sada Aai Ho Jeise...
Tune Pichhe Se Aavaaz Lagaai Ho Jaise..
Mud Ke Dekha To apana Hi Saaya Najar Aaya..
Yu Laga Ki Tu Muj Me Samaai Ho Jaise.

kisse maange

kis se maange bhla hum chaar pal khoshi ka
jo bhi milta tha dikhta tha chaira bebasi ka
ab tu lagta hai matlab hi na raha zindagi ka
waqt hum se kah gaya tha ke koi nahi hota kisi ka
jo mere zakhmo pe aya tha muskorane aaj
hai sabeb wahi meri es badnasibi ka
sonate thy jise bhi gum ka fasana apna samjhke
wo udata tha mazaak logo main meri her nami ka
jo bhi milta tha dikhta tha chaira bebasi ka
loot gaye hum tu tere waste aur tujhe pata bhi na chla
teri aarzo ne ayesa lota ke hame na rakha kahi ka
layi thi lafzo ki haqeet kawal apni gazal main
padh ke esko bhi sunata tha koi haal meri zindagi ka
kis se maange bhla hum chaar pal khoshi ka
jo bhi milta tha dikhta tha chaira bebasi ka

Tuesday, August 22, 2006

kyon dar gai

yu To Jamana humare jine ki dua kerta hai
jis ke liye hum jite hai ,wo humare marne ke dua kerta hai.
Mahfil me humare aane ki raah sab dekhte hai
Or wo humare Mahfil se jane ki dua kerta hai.
Na Jane wo is kadar humse kyo nafrat Kiya kerte hai
per hum to unko har sans ke sath yaad kiya kerte hai.
Log bhool jaayenge unhe jo pyar ke naam per merte hai
yaad rekhenge hume Jo pyar ke naam per jiya kerte hai.

kyun dar gayi tu haalat se,
kyun nahi tujme sabar aaya,
kyun tod diya sab vaadon ko itni jaldi,
kyun mera pyaar tujhe rok nahin paaya

khuda ki rahmat

Soni Soni Raaton Mai Chand Zameen Par Ata Hai
Kabhi Mai Osay Deakhon, Kabhi Woh Mujhay Deakhkar Muskurata Hai
Door Chalay Jatay Hai Mujh Se Duniya Ke Saray Gham
Badalo Mai Chupke Who, Jab Mann Mera Behlata Hai
Poochta Hai Woh Jo Kabhi Meri Tanhai Ka Sabab,
Teri Neend Ka Khayal Mere Dil Mai Ata Hai

humne unhe apna sab kuchh de diya,
unhone koi nishani abtak nahi di.
sirf wo hi aaye the hamare dil mein,
phir kisi ne is dil pe dastak nahi di.

zindagi ki dua na de zalim,
zindagi kisko raas aayee hai,
gairo se kya kare shikwa,
hum ne to apno se chot khaee hai

Mohhabat ko tizarat banane walo se puchhate hai
kabhi iski ibbadat ki chah bhi maan me aayi hai,
yu too unki bawafai per pura yakin hai hume
per jane kyo Dil ke her kone me unki yaad samai hai.

Intezaar to kareiN ke jab vo aaye bhi
Bhool jaayeiN hum chhodeiN jo mere saaye bhi
Kal subah yeh zindagi jo na rahi
Tamaasha dekheNge apne aur paraaye bhi
Vo gair hai to gair ban-na bhi seekh le
YaadoN meiN aake baar-baar aazmaaye bhi
Kehta hai duniya ko chhoD dega humeiN
MuD ke dekhe baar-baar, ghabraaye bhi
Yeh kaisa khuda hai mere dosto
Khud hi lagaaye aag, khud hi bhujaaye bhi
Shikwa bhi to kya kareiN hum kisi se
Khoya ik humsafar to lakhoN rehnuma paaye bhi.

majboor mohabbat

hum har baat jinhe dil ke batate rahe
woh chahte the kya hum se chupate rahe
Humne bahut koshish ki unhe samajh pane ki
woh mere har fasle ko uljhate rahe
Humne pyar mein unke pana chaha sukun
woh har kadam pe humko tadpate rahe
Jagah nahi badli unke intazar ki
us jagah ab shaks naye aate rahe
Us nazar mein kabhi ek jhalak thi hamari
yahi sooch kar dil bahlate rahe
Jinke dil mein jagah na thi hamare liye
hum unki yadoon ko dil se lagate rahe
Unhe bhool pane ki ek nakam koshish mein
unhe yaad karke unko bhulate rahe

dastak di hai

phir is dil pe dastak di hai aaj teri yaad ne
ye jaante huwe, ki tu har lamha mere hi paas hai,
tu meri zameen mera aasmaan,
aur us aasmaan mein basa mera chand hai

dekha, maine kaha tha na ki main ro padungi,
mujhe is tarah rulane kyun chali aati hain teri yaadein?
mujhe is tarah satane kyun yaad aati hain teri baatein?
kyun mujhe tujhse itni mohobbat ho gayi hai?
kyun sooni lagne lagi hain tere bina meri raatein?

dil

Dard Bankar Jo Basrahaa Hai Seene me Tumhare,,
Is Chahat Ko Main Kya Naam Dun...???Is Dard Se Jo Behte Hain Katre Lahu Ke Nigahon Se Tumhare,,
Is Ashkon Ke Tufaan Ko Main Kaise Tham Dun...???
Dard Ke Siwa Mila Na Jisme Kuch Bhi Tumhe,,
Is Ulfat Ko Aakhir Main Kya Anjaam Dun...???

wo mughe phir bhula rahi hogi
mughe dekhne ki hasrat me chat pe kapde sukha rahi hogi
zab main uski aankho me aa gaya hun
ghanto mughse nazre chura rahi hogi
chand ko chandani, taaron ko meri baatein suna rahi hogi
uski zulfo se uske chehre par chandani chan ke aa rahi hogi.

Kya kahoon tumse,
Tum to meri jaan ho..
Meri duniyaa mein aake,
tum baarish ki paheli boondein ho..
Log kahtein hain, ki tum parayi ho,
magar humne toh tumhe apna mana hai..
Dil ki baatein kya joothi hain,
Jo mujhe bewafa kar, tum kisi aur ko apna mana hai..
Kya bataein tumhe,Ab toh bas mar jaane ko dil karta hai..
Dekhtein hain kab tak ab ji patein hain,
Jab mere apnon ne mujhe begaana mana hai..

Dheere Dheere unke aane ki aahat aa gayi,
jo sharad thi sanse unme garmahat aa gayi
Bajane lagi shanai ki terh jo thami thi sanse,
Marne ki tamana nahi thi per jine ki chahat aa gayi.
Aakho me viraniya thi , Dil me sanaata tha
AAne se unke, in per phoolo ki Bahaar Chha gayi.
Maangi thi Khuda se unki Deedar ki dua
Dua kabul hui or unse milne ki shaam aa gayi.

pyar ka saath

kya kahe koi jab saath na raha
Pyar ko chordo dosti ka haath na raha
Dil aur jaan mana tumko
Tumne is pyar ko naam kya diya
Diya tho bas saath na diya
Kya kahe koi jab saath na raha
Pyar ko chordo dosti ka haath na raha
cha ke bhi mere sapne sapne nahi rahe
aab tho sapna aakhon main hi na raha
tumne pyaar ko naam kya diya
haath tham aa aur chord diya
kya hua un kasamo ka
kya hua un rishton ki rasamo ka
Kya kahe koi jab saath na raha
Pyaar ko chordo dosti ka haath na raha

ye pyar kya hota hai

yeh pyaar kya hota hai
pyaar ka saath kya hota hai
kyon hote hain achche dost
Is dil ka yeh haal kyon hota hai
chal pard te hain hum isi pyaar ki raha pe
koi humare saath nahi hota hai
raha pe chal ne se palhe tho hum soch te nahi
Is raha ka aanjam kya hota hai
kahin kho jaati hai yeh raha
ke humse yeh safar aab nahi hota hai
milta hai jo humsafar safar main aab
vo humsafar hi nahi hota hai
choot jaata hai haath uska root jaata hai
pyaar uska phir yeh pyaar kya hota hai
dard ka sirf ek pagam hota hai

aysa laga khuda

Baithi hain honthon ko see kar, pachhtaainge aap,
Ishq jaag uththa hai aksar aisi khaamoshi key baad.
Insaan ki khawahish ki koi intihaa nahi,
Do gaz zameen chahiye, do gaz kafan key baad

Aisa laga Khuda nein Rakh diya hamaarey dil pey haath,
Liya naam hamaara unhon nein kuch aisi ada key saath.

Tujhey is Baazaar ka Dastoor Mein Samjha na Saka,
Bik Gaya jo Woh Khareedar ho Nahi Saka.

na jaane kyon

Yeh kis tarah yaad aa rahe ho,
Aankhen band hai phir bhi nazar aa rahe ho,
Na jane kyon aisa lagta hai jaise saamne khade ho
aur POONCHH HILAA rahe ho...!!!.........

Monday, August 21, 2006

main aur meri tanhaai

Rehtey hain saath saath mai aur meri tanhai
Kartey hain raaz ki baat mai aur meri tanhai
Din to guzar hi jata hai logon ki bheer mai
Kartey hain basar raat main meri tanhai
Saanson ka kya bharosa kab chor jain saath
Laikin rahain gay saath main aur meri tanhai
Aaye na tumhe yaad kabhi bhul kar bhi hum
Kartey hain tumhe yaad main aur meri tanhai
Aa ke paas kyon door ho gaye hum se
Kartey hain teri talash main aur meri tanhai
Tum ko rakhain gay saath zeenat bana kay ghar ki
Reh jain phir na tanha main aur meri tanhai

wajh

Meri khata ko tune wajah di
Bina baat ke bhi mujhko tune saza di
Shola tha dil main mere gum ka
Usper tune aur aag laga di
Samjh ke bhi tune etna na samjha
Mere pyaar ne bas tujh ko sada di
Dil ke tukde tukde kerke
Zid se tune her khwahish mita di
Main ne manga tha saath bas tera
Gayero ke pass jaker meri tune qimat hi gira di
Aansoo mere dil ke gum ke
Mange tujh ko aur tune mujh ko bas daga di
Samjhaye bhi tu kaise tujh ko
Tune tu her baat has ke uda di
Dil main hi reh gaye din wo pyaar ke
Her baat tere mere dil ki tune aye sangdil bhula di
Meri khta ko tune waja di
Bina baat ke bhi mujhko tune saza di
Kitna sitam tu laakh aur kerle
dil ne mere bas tujhko duwa di

ek na ek din

Ik na ik din yay kahani banay gi
too meray sapno ki rani banay gi
chain loota hai neend looti hai
aisay mausam may hum say roothi hai
yay taray hatho ki angoothi
prem ki pehli nishani banay gi
Ik na ik din yay kahani banay gi
too meray sapno ki rani banay gi
yay gussa too bhooljayey gi
terey honto pay hasi aaye gi
yey aaj ho ga ya kal ko hoga
ye berukhi meharbani baney gi
Ik na ik din yay kahani banay gi
too meray sapno ki rani banay gi

ho sake to.........

Ho sakay too bhool ja is bay vafa ko
na yaad kar bar bar apni hi vafa ko
aksar galat hotay hain
yah piyar kay andaz choop chap sah ja
ab in ki saza ko jo samnay dakh kar
tumhain rahain badal latay hain
daad diya kar too in ki is ada ko
jis nay banya taray dil ko viraniyon ka ghar
wo bhee tarsay ga umar bhar is jaga ko!!!!
wo roay ga boohat tumhain yadd kar kay (.............)
pachtay ga wo sangdil apni hi jafa ko.

khud ko is dil main basaane ki izazat dedo

Khud ko is dil main basane ki Ijazat Day Do
Mujh ko tum apna bananay ki Ijazat Day Do***
Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho
Phoolon say khud ko sajanay ki Ijazat Day Do…
Main kitna chahta hoon kis tarha bataoon tumhain
Mujhay yeh aj batanay ki Ijazat Day Do…
Tumhari raat si zulfon main chand sa chehra
Mujhay yeh sham sajanay ki Ijazat Day Do…
Mujhay Qaid kar lo apnay ishq main Uz..
Yeh jaan tum pe lootanay ki Ijazat Day Do…
Nahi hai shauk Imran ko bhoolnay ka mager
Mujhay yeh duniya bhoolanay ki Ijazat Day Do

Sunday, August 20, 2006

bewaffa sanam

Main Surajmukhi, Tu Chandermukhi,
Tu mujhse dukhi main tujh se dukhi,
Chal chhat par jaa ke laga de chhÈllang,
Tu bhi sukhi main bhi sukhi



Bewafa sanam tune ye kya keh diya..
Bewafa sanam tune ye kya keh diya..
Biskut bhara dil mera Chaai mein duba diya..

aaj phirta huaN uske isq me maaraa maiN dar-ba-dar,
paroN me padi isq ki, janjeer dekh naa.
wo bhi tadpegi,mujse milne ko ek din,'
saagar' tu mere isq ke, taasir dekhnaa.

jub hume vo yaad aate hai,
hum hale dil kisi se kehnhi pate hai,
tumse aur kya kahe dosto,
khayalo main vo hi humra dil behlate hai

Gazab kiya tere vaade pe aithbar kiya
tamam raat qyamat ka intezar kiya"

RAHA ASAAN HO-GAYEE HOGI
JAB JAN PAHICHAN HO-GAYI HOGEE
Pher Palet ki Negahi nahi aa -EE
O Tujpe Kurban Ho-gayee hogi ....

Kuch-to Duniya ki Inayat-ne Dil Tod diya
Aur kuch Talkhie Halat ne Dil Tod diya
Hum-to sochte the ki Barsat me Bersegi Saraab
Aaee Barsat to Barsat ne Dil Tod Diya

kabhi rootha nahi karte

Khabhi rootha nahin kartey
Suno aisa nahin kartey
Jinhein paana na ho aasaan
Unhein soocha nahin kartey
Jinhein shab bar tarapna ho
Khabhi soya nahin kartey
Zara si baat pe suno
Youhi roya nahin kartey

Saturday, August 19, 2006

jo sab dete hain

Jo sab dete hain wo hum nahi denge...
Pyar jab bhi denge kam nahi denge...
Yakin na aaye to aazma lena...
Zindagi mein aapko kabhi gham nahi denge

Hum unka intezaar karte hi reh gaye...
Tumhari judaai ko sehte hi reh gaye...
Dil thamne ki koshish ki magar...
Ye kambakht aansu behte hi reh gaye..."

kise pukaarun

Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-e-Gham Main
Kay Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain
Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha
Warna Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain
Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girte
Kay Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain
Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain
Hum Karain Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
Kay Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain
Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Darr I
s Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain
Ab Dast-e-Shanasai Na Barhayain Gay
Hum Kay Zamane Bhar Se Thukrai Hue Hain
ho moobarek tujhe teri ra`anaiyyan
door tujh se rahain ghum ki perchaiyyan
meri hur ik wafa tujh ko de ker dua roti hain
dam ba dam hum bicher jain ge
Teri tasweer se dil ko behlain ge
dil na behla ager tu kahan jain ge
kuch moobada`e ghum soch lain
aa sanum aaj mil ker be hum, hum bicher jain ge
mere raat or din itne soonsaan hain
mere shaam`o sehar itne weeraan hain
bus yeh hee sooch ker jism or rooh pur
chaa raha hey alum hum bicher jain ge

kahne ko

Kehnay ko us say mera koi waasta nahin
magar woh shakhs mujhay bhoolta nahin
darta hoon aankh kholoon to manzar badal naa jayey
main jaag to raha hoon magar jaagta nahin
aashaftagi say uski usay beywafa naa jaan
aadat ki baat or hay dil ka bura nahin
tanha udaas chaand ko samjho
naa beykhabar har baat sun raha hay
magar bolta nahin khamosh ratjagoon ka dhuwaan tha
chahaar soo nikla kub aaftaab mujhay to pata nahin
woh aankhain jheel see gehri to hain
magar un main koi bhi aks meray naam ka nahin!!

kabhi palkon pe aansoo

kabhi palkon pe aanson hain kabhi lab pe shikayeat hai
magar a zindagi mujhay tujh se mahubat hai
jo aata hai woh jaata hai yeh duniya aani jaani yahan har sheh musafir hai
safar main zindagaani hai ujaalo ki zaroorat hai andhera meri kismat hai
kabhi palkon pe aanson hain kabhi lab pe shikayeat hai
magar a zindagi mujhay tujh se mahubat hai
zara aye zindagi dam le tera deedar to ker lon
kabhi dekha nai jis ko usse main pyar to ker lon
abhi se chhor k mat ja abhi teri zaroorat hai kabhi palkon pe aanson hain
kabhi lab pe shikayeat hai magar a zindagi mujhay tujh se mahubat hai
koi anjaan sa chehra utarta hai fizaon main yeh kis ki ahatten jaagi meri khamosh rahon main abhi aye maut maut mat aana mera wirana jungal hai kabhi palkon pe aanson hain
kabhi lab pe shikayeat hai magar a zindagi mujhay tujh se mahubat hai

dosti kya hai

DOSTI mosam nahi, ke
apni muddat pori karay or rukhsat ho jae,
DOSTI sawan nahi, ke htoot kar barsay ortham jae,
DOSTI aag nahi, ke hsholay bikherey or
bujh jae,DOSTI aftab nahi, ke hchamkey ordoob jae,
DOSTI din raat nahi, kehaae or badal jae,
DOSTI phool nahi, ke hkhiley or phir murjha jae,
DOSTI to saans hai jo chaley to sab kuch toot jae to kuch bhi nahi

Friday, August 18, 2006

husn ki sikayat

Socha karu phone usko jisne husn banaya,
Mujhe to uska no. na mila per uska ph. aaya.
Bola teri SIKAYAT mujhe samajh aati hai,
In husn walo ko duniya Gulam nazar aati hai.
Qyamat to jab hoti hai jab ye itra ke chalte hai,
Ab to tum kya Hum bhi Khud inse jalte hai.
Kyo ki ye husn wala bade ajib hote hai,
AAj iske to kal Kisi aur ke karib hote hai

aaj phir ek pal khoobsurat hai

Aaj phir ek pal khubsurat hai,
Dil mein teri… sirf teri Surat hai,
Kuchh bhi kahe yeh Duniya me gham nahi,
Duniya se jyzda humko teri zarurat hai… ...

Mujay Chanda Kaho Jaan Kaho
Mujay Apnay Dill Ka Mehmaan Kaho
Mujay Dekho Har Lamha Yuhi
Mujay Tum Apni Pehchaan Kaho
Main Poori Karoo Tumhari Har Khawahish
Mujay App Apna Maaan Kaho
Har Haal Mein App Muj Ko Hi Socho
Muj Se Dill Ka Har Armaan Kaho
Har Lamha App Ko Hi Chahoo Main
Mujay Payar Ki App Apni Shaan Kaho
Mere Dill Ki Dharti App Ki Hai
Ussay Zameen Kaho Asman Kaho
Sub Kartay Hain Batain App Ki
Har Azooo Ko Meri Zaban Kaho
App Ki Dunia Mein Khoii Rehti Hun
Mujay Mast Kaho Anjaan Kaho

teri yaadon ke saay

Teri yadon ke saye se door daman hum apna bachate rahe,
tum samajh na sake bewafa..akhir hum ko bas jafaon se hi azmate rahe,
teri 1 muskurahat par hum mar jate.. magar tum bewafaion ke nashtar chalate rahe,
shyad ki kabhi aajaye unhe khyal humara..bas isi umeed se hum dil ko behlate rahe,
vo to pathar ki murat hai na pighle gi kabhi, hum nadan the jo iss se dil lagate rahe