Wednesday, January 31, 2007

jaan kar bhi wo


Jaan kar bhi woh Mujhe jaan na paaye,
Aaj tak woh Mujhe pehchaan na paaye,
Khud hi kar li bewafai humne,
taaki unpar koi ilzaam na aaye

Mere dil ki kitab ko padhna kabhi,
Sapno me aake mujh se milna kabhi
Maine duniya sazai hai tere liye,
Meri nazro ki ummed ban’na kabhi
Bahut dur hai sitaro se roshan jahan,
Jra humkadam banke mere sath chalna kabhi
Bahut najuk seene mai DIL hai mera,
Tum andaj mohabbat banke dha’rkna kabhi

Aye kaash kisi des se paigaam aaye koi,
mujhe bhi chahe aur dil mein basaye koi.
koi bechaini se karta ho mera bhi intezaar,
apni aankhon mein mere khwaab sajaye koi.
koi shikwa kiye bina hi mere naaz uthaye,
mein rooth jaoon to pyaar se manaye koi.
koi aisa ho jo har lamha mere deedaar ko tarse,
beqarari se mujhe paas bulaye koi.
koi mujhko bhi seene se lagane wala ho,
shararat kare aur mujhko sataye koi.
mera bhi is duniya se chale jaane ka waqt aaye ga,
mein mar jaoon to meri maut pe aansoo bahaye koi.

Kahi andhera kahi sham hogi,
meri har khushi tere naam hogi,
ek baar kuch maang k to dekho,
Hoto pe hasi aur ye zindagi tere naam hogi.

No comments: