Thursday, January 25, 2007
mahfil
baadalon se salaam leta hoon ,
wakt ke haath thaam leta hoon,
maut ruk jaati hai pal bhar ke liye ,
jab mein hathon mein jaam leta hoon
Saki tu hata de peimane aaj sare,
maryada toot jane debebak hokar pine de mahboob ko mere,
mohobbat fuut jane detabhi to karenge wo ikrare ishk,
hichkian chhoot jane deaaj gar wo dushmani bhi karen, beshak roothh jane de
thoda sa hume pee lene do,
gum-e-zindagi bhoola dene do,
kya pata kal ki sham aye ya na aye,
nashe me hi kuch pal jee lene do!
Mehkhane me jo logo ne hame dekha
to Diljale bhi heirat me aa gaye
logo ne pehchana na khud ko
aur dekho mujhko aazmaane aa gaye
Insano ke kandhon par insan ja rahe the,
kafan me lipte kuch arman ja rahe the,
jinhe mili bewafai mohabbat me,
wafa ki talaash me wo samshaan ja rahe the!
aap yoon hi roj meri galee se aaya jaya karen
daman me chehra chupakar, muskuraya karen
Bin peeye yoon hi waqt kat jayegaa gareeb
kaagar aap mere ghar ke aage, ek bar ruk jaya karen
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment