Tuesday, January 30, 2007

kya karoge jaankar


Kya karoge jaankar dil ke yeh halaat
Kitni baar tootta phie bhi hum zinda hain
Unhone phir se ek aur tukda kiya dil ka
Unko apna samjha yahi sochke sharminda hain

Us ek naam se jud gaya mera ab naata hai
Jiska rang har rishte me nazar aata hai
Sameyte baithi thii kal tak jis aanchal ko main
Aj uspe'Wafa or Mohabbat'likha nazar aata hai

Na jaane kal ke naseeb mein kya likha hai
To fir kyon na hum bus aaj ki baat karen
Ye haseen lamhe laut kar nahin aane waale
Apne dil ki chahat se chalo mulakaat karen

Wo sunahare panno ki kitaab ek din khul jaayegi
Kaun hai kismat mein tumhe usse milwayegi
Saath tumhara bahaut denge raah mein aie musaafir
xsJiska naam likha hai mukaddar mein wahi asli saath nibhayegi

Rangon ko suhana banane ka irada rakhte hain,
Zindagi ko naya afsana banane ki aas rakhte hain,
Khushiyon main gam ko chhupane ka vaada karte hain,
Zindagi ke har pal pe muskan ka vaayda karte hain!

Jis kalam se kisi ne woh bayaan likhe hain
Apne ess dil ke halaat tamaam likhe hain
Woh kalam salamaat rahe hamesha yun hi
Kalam ke malik ko hum apna salaam likhte hai

salaam karte hain mehfil me wo nazerein jhukaaye
hum bhi hain ke unhi ko hain nishaana banaye
jo khushi bayaan karte the nigaaaho se kabhi
aaj baithe hain wo khud se apni hi nazrein churaaye

No comments: