Monday, January 22, 2007
madmast nigaah
Mangga tha haath faila kar meine pyar unse
Aur wo meri jholli katton se bhar gaye
Baddla to hum bhi le sakte thhe ei dost
Par hum thhodda khudda se darr gaye
Kanton pe chalne ki aadat banni hei,
phullon ke kissne sapne liye hein
Kismat hammari mei jo raste hein,
chaloonga unhi pe jo rabb nei diye hein.
Pass rahkar bhi na pahchan saka tu mujhko
Door se dekh kar ab hath hilata kya hai
Main tera kuchh bhi nahin hoon magar itna to bata
Dekh mujhko tere jehan main aata kya hai
Unhe zindagi ko najar lagaane do
Phir bhi ek din chaman bahar hoga
Bus yahi sochkar main zinda hoon
Ki kabhi to zindagi se pyar hoga
Mahke mahke mausam me dekho kali muskayi hai.
bhine-bhine saawan me kaali ghata ye chhayi hai.
aaj ka din to qayamat ka din hai khuda.
roz sapno me aane waali aaj zindagi me ayi hai.
Meri aankhon me ek sapna hai sajaaya tumne.
dil-nashin aashiyaana bhi banaya tumne.
tum qayamat ho ye sirf main nahin kehta.
us Khuda ko bhi deewana hai banaya tumne
Dil ki dil se ho jaaye agar baat to kaafi hai.
kisi ki yaad me beet jaaye saari raat to kaafi hai.
mujhe maloom hai, tumse milna abhi mushkil hai sanam.
khwabon me hi jo ho jaaye mulakat to kaafi hai.
Mujhe bevajah kisi ki yaad sataye to koi kya kare.
yaad me doobkar jee bhar aaye to koi kya kare.
dil ko bahlane ke bahut jariye hain din bhar.
raat hote hi koi khwabon me aa jaye to koi kya kare.
Ishq ne tere mujhe madhosh kar diya.
madmast nigahon ne to khaamosh kar diya.
ek aawaara-deewana mujhe kehti thi ab tak duniya.
teri kaatil adaa ne mujhko sarfarosh kar diya.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment