Thursday, January 04, 2007

phoolon pe laga pahra


Yu mili jo nigahen dosti ittefaq ho gayi,
Raah mein chalte2 tumse mulaqat ho gayi.
Jab se basaya hai tumhe nigahon me,
Pata na chala kab din kab raat ho gayi

Har insan ki alag pehchan hoti hai,
par hamare sms ki alag hi shaan hoti hai.
Har kisi ko karte nahi sms magar,
jisko karte hain usme hamari jaan hoti hai.

Phulo pe laga pehra acha nahi lagta,
rang ishk ka na ho gehra to acha nahi lagta.
Muskurate raha karo sada e dost,
tumhara udas chehra acha nahi lagta

Kaash hum b kisi ankh k noor hote,
kisi k dil ka suroor hote.
Agar banane wale ne hame b khubsurat banaya hota,
To hum b kisi na kisi k katil zaroor hote

Sharaabi ilzaam sharaab ko deta hai,
Aashiq ilzaam shabaab ko deta hai.
Koi nhi krta qabool apni bhool,
kaanta bhi ilzaam gulaab ko deta hai

Yaad ko keh do ki woh yaad na aaye,
Dil me chippe dard ka paigam na laye.
Jis mohabbat ko apni hi najar lag jati ho,
Us mohabbat ka koi salaam na laye.

Khwab agr TUMsa ho to ye khwab na tute.
DOST agr TUMsa ho to ye saath na chhute.
Dilon ki dor se bandhe hain rishtey,
dekho Dil se Dil K taar na tute.

No comments: